kya woh sab yaad tumko hai

tumhein aaj phir dil se chaaha,
ahsaas kya tumko hai, 

agar jaante ho mere dil ka haal,
phir bhi na khayal tumko hai,

daaman ko mere kaanton se sajja kar,
kya yeh mehkati tumko hai, 

chord di aaj saari waffaien,
jiske gumaan mein rehta tha,

safar ab khatam hua is zindagi ka,
mili jo meri manzil tumko hai,

asar unko meri baaton ka, kyu nahi hota,
mein bewaffa nahi, bewaffai ka dard tumko hai,

sharaab peene ko aaj bahaut dil chahe mera,
karu to kya main karu, di jo kasam tumko hai,

mere haaton mein, de kar haath jo tum kehte the,
aaj bhi sochta hoon, kya woh yaad tumko hai,

mera to sab kuch tum ho, kise kahu apna,
dushman bhi na deta itne zakham,
mere dard ka hisaab kaha tumko hai,

dil se ab dua hai yehi, uska zikar na kare koi,
lekin yeh kaha ho saka, jaanta har koi tumko hai,

milti hai raat khushnaseb so jaane ke liye,
mujhe har aahat jagaati hai,
raat sitaaron ki jab kabhi chup jaaye,
phir woh jagaati kya tumko hai?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts