where am I

slips, touches the edges running, 
finding the end, where am I?  

I run all around,
above and underneath the ground, 

searching, screening, finding the here about, 
run run run, they shout.

I am here, all over again in pain, insane.
I need a resting corner it is a serious concern.

I need not hold my shadow faith in him, 
I bestow 
survival is what I need little of rest and some peace.  

but my feet don't seem to stop 
never ending is the road of life
where am I?  

still hunting the treasured end
the eternal satisfaction I have ran all around,
yet no where is my soul to be found where am I?
above or underneath the ground? 

zindagi ki har cheez lagti hai dekhi-dekhi

phaake mein din gujaare, rahisi bhi dekhi,
mehfilein jamayi, tanhaiyan bhi dekhi.

kuch iss kadar badhi, waki-fiyat hamari,
ki zindagi ki har cheez, lagti hai dekhi-dekhi.

dekh kar kisi ko undekha sa karna,
waqt ke sath-sath nazar badalte dekhi.

jee na sakunga tum bin, hazzaron dafa kaha tha,
jane ke baad unke,  jeene ki chaah bhi dekhi.

tere bina hans paunga, yeh socha bhi nahi tha,
jillat se hans ke maine, sochein badalte dekhi.

kuch iss kadar badi waki-fiyat hamari,
ke zindagi ki har cheez, lagti hai dekhi-dekhi. 

loneliness

I have often divided my lunch with her, 
she knows all of my dreams, 
my ambitions, my dark days often, 
however I don’t really know 
what to tell her because 
she puts me to uneasiness. 

there are mornings in which 

she drives me mad,
because she is not invited, 
yet she introduces herself
with the first lights of the dawn. 

she walks all day long by my side
in the middle of the crowd at times,  
however I have also loved
and desired her more than any other things,
as when gazing at the splendour of nature
or while listening to a good music. 

she has seen me crying for an ended love,
for some sad, though I believe 
that lot of times she has endured pain for me. 

once I have seen her caressing
a dead leaf fallen on the ground,
another time I watched her running
after my sigh.. always silent and discreet. 

while persons in love
are kissed and embraced,
she is with the others
with those who crave for a love. 

when the world is closed out alone
and the night is ready to knock at door,
she is there awaiting..
on the pillow soaked with tears. 

at times she is beautiful as an angel,
at times ugly as sin,
but she is always a lady,
and she is called  "loneliness"

bad’duaa de ya duaa de, kuch samajh aata nahi

chalte chalte raah mein woh thokarein khaya kare,
aankh jiski aashmaan ki aur uth jaaya kare,

ek dafaa hota hai raushan aafataab-e-zindagi,
ek bhi katra na iske noor ka zaaya kare,

kya hua jo parr patjhar mein na chhaaya kar sake,
sukhe patton ka bichhauna ban ke bichh jaaya kare,

baarahaan apne diyen to aandhiyon mein bujh gaye,
ab to ek jhonke se dil apna seham jaaya kare!

aankh ka paani kabhi dhota tha mann maila mera,
jab se pathraayi yeh, ek katra na barsaaya kare!

ek kandhe ka sahaara jeeteji milta nahi,
chaar kandhe maut par har shaks hi paaya kare!

bad’duaa de ya duaa de, kuch samajh aata nahi,
zakhm dekar jab wahi zakhmon ko sahlaaya kare!

kya hua chaahat nahi, lekin khuda ki dain hai,
jo mila hai, hum ussi se dil ko bahlaaya kare!

the rock the sea and the sand

I am a rock..
seated at the seashore,
I ask questions to the horizon.

I am the sea..
that softly kisses and embraces,
whatever is here nearby me.

I am the rock..
the sea cuddles me in her arms,
and time can not consumate me.

I am sea..
but the rock doesn’t fear me,
he believes to be immune to me.

I am rock..
the sea caresses me continuously,
it starts to give me pain.

I am the sea..
that slowly takes away with it,
also the most resistant rock.

I am sand..
the only fruit of a love,
between a rock and his sea.

raaj teri bas yahi aadat buri hai

milega kabhi sachcha dost mujhe,
ab to chodd chuka hoon us aas ko,
jis pe bhi kiya khud se jada bharosa,
ussi ne toda sada mere vishwas ko.

mera kasoor sirf itna hai ki,
maine sada dil se dosti nibhayi hai,
milti hai saza burayi ki kisi ko,
maine to shareef hone ki saza paayi hai.

kabhi dil kisi ka maine toda nahi,
phir dil mera kyun har baar toota hai?
kya koi nahi jis par vishwas kar sakoon?
kyun mujhe mere hi apno ne loota hai?

yahan sab ke chehron par nakab hai,
inki baaton mein meethi chhuri hai,
na kiya kar itni jaldi vishwas,
ki raaj, teri bas yahi aadat buri hai…

yahin kahin tum se mile the

yahin kahin tum se mile the,
yahin kahin tum ko kho diya,

in nagmon mein tum ko paya,
tannhai mein tum ko kho diya,

apne sawalon mein tum ko paya,
aur jawabon mein tum ko kho diya,

raat ke saaye mein tum ko paya,
aur ujaalon main tum ko kho diya,

lakhon nazaron mein tum ko paya,
do anshuon mein tum ko kho diya,

sadiyan bitayi teri talaash mein,
ek hi pal mein tum ko kho diya. 

wah gujra zamana yaad aata hai

woh masti aur hansi ka zamana yaad aata hai,
woh bachpan ka khud hasna-hasana yaad aata hai,

zamane ke har gham se anjaan tha woh pal,
ek pal mein ro ke phir muskana yaad aata hai,

har phikar se milon door thi woh zindagi apni,
khwahish-e-dil puri karne ka fasana yaad aata hai,

woh khilono ki basti aur khelon ke jahan,
khud ruthna aur manana yaad aata hai,

yeh kahan aa gaye hum un dinon ko bhool kar,
ret gharondhe banakar girana yaad aata hai,

aaj hamari zindagi ghamon se bhari hai,
woh haseen pal, woh khushiyan lutana yaad aata hai.

yaad karun to bhi tum paas nahi aate ho

bhulna chahun to bhi tum rula jaate ho,
yaad karun to bhi tum paas nahi aate ho,

yaad mein tumhare khud ko bhool raha hoon main,
yeh fasla mitane mein khud mit raha hoon main,


har waqt har lamha apna ehsaas dilate ho,
agar paas raho tum, dhardkan bhi jaroori nahi hai,

tumhare bin meri khud ki hasti adhuri hai,
ashk ka in aankhon mein ehsaas dilate ho tum,

is se pahle ki tardap tardap ke mar jaun main,
samet lo mujhe kahi bikhar na jaun main,

batao mujhe tardpa ke kya paate ho,
yaad karun to bhi tum paas nahi aate ho…! 

adhuri hasratein

dekh kar unko mere dil mein samayi hasratein,
mit gaya sab kuch par mit na payi hasratein,

meri betaab dhardkanon mein unhein basa ke,
phir meri hi bebasi par muskurayi hasratein,

mere khwaab-o-khyaal ko unke naam kar ke,
kis mukam par mujhe kheench layi hasratein,

us sitamgar ne mujhe kai baar thukraya,
phir ussi dar par mujhe pahunchayi hasratein,

iss dil ki dhardkan mein, betaab nigaahon mein,
ab to mere gazlon par bhi chhayi hasratein.

kabhi to mujhe bhi jaroor yaad karti hogi

mere zakham tere dil mein kabhi to atakti hogi,
tere sine mein bhi ek aag bhardakti hogi,

kisi raat tujhe bhi to na aata hoga karar,
hizra mein meri tarah tu kabhi to sisakti hogi,

juda hoke mujhse, kabhi to un palon ko khayaal aaya hoga,
jiske yaad kar tere dil se bhi lahu ki bundein tapakti hogi,

tujhko chaha bhi maine jaan se badhkar,
us wafa ki yaad mein teri aankhein kabhi to nam hoti hogi,

khud ko bhool gaya hai “raaj“ tujhe yaad karne mein,
kabhi to tu mujhe bhi jaroor yaad karti hogi.

yeh tamasha sare bazaar jaruri to nahi

dil ke loot jaane ka izhaar jaruri to nahi,
yeh tamasha sare bazaar jaruri to nahi,

mujhe ishq tha teri rooh se.. ab bhi hai,
aankhon ko intezaar tha tera.. ab bhi hai,
jism se koi sarokar jaruri to nahi,

main tujhko toot ke chahun yeh meri fitrat hai,
dhardkanon se jada dil mein teri mohabbat hai,
tu bhi tardpti ho mera liye, yeh jaruri to nahi,

aye sitamgaar jhank le kabhi in aankhon mein,
roz bikharta hoon, roz dil ke tukadon ko samet-ta hoon,

har baar juban se pyar ka izhaar jaruri to nahi,
dil ke loot jaane ka izhaar..  jaruri to nahi.

bahut pachta raha hoon main chhot khakar

mohabbat mein mila kya dil laga kar,
bahut pachta raha hoon main chhot khakar.

bimariyan bhi aisi kya paali humne,
pane ke liye usse bazi jaan ki lagali humne.

uski yaadon ko dil mein basa kar,
tardap aanshoon udasi aur bekarari hi mili,

chahne ki galti ki maine karoon kya gila,
sirf gham hi paya hai maine dil laga kar,

waise shaks se kabhi rishta na rakhenge hum,
jisse chah kar “raaj” ko mila sirf gham hi gham.

guzar jate hain paas se nazrein chura kar,
bahut pachta raha hoon main chhot khakar.


poocha jo hal-e-zindagi to dil murjha gaya

poocha jo hal-e-zindagi to dil murjha gaya,
khamosh labon pe halchal huyi, dil ka bojh halka hua,


palkon pe thame rahe hum girne se ashkon ko,
kisi ki yaad-e-ulfat ne sab kuch bhula diya.

pyar mein kabhi kabhi

mohabbat khoobsoorat hai,
lekin jab adhoori hoti hai,
pyar mein kabhi kabhi,
kaha suni jaroori hoti hai,

kuch es tarah se poocha usne,
ke zinda kaise ho hamare bina,
to humne kaha..

shayaad apko maloom nahi,
kabhi kabhi marne walon ke cheron
par bhi khushi hoti hai.

I was me.. again

I became the rain,
swallowed by the clouds,
taken into the heavens,
gently falling down.


I became the earth,
living, breathing, growing.

I became the river,
fluid, silver, flowing.

I became the sun,
freely giving warmth.

I became the sea,
raging as I stormed.

I became the breeze,
soft and cool, embracing.

I became the sky,
the same, always changing.

I became the stars,
full of joy, full of pain.

I became the moon,
and then I was me.. again.

har baar main tujhe yaad karta hoon

beete huye kal ki aawaz..
ek dard si jagati hai seene mein, 

usse dard kaho yaa dil ka sukoon,
yehi dard aur sukoon ke kashmakash mein,
har baar main tujhe yaad karta hoon.

tu to basi hai mere soor mein,
phir bhi tujhe sunne ko tarasta hoon,

tu hi to chhayi hai mere khwabon mein,
phir bhi tujhe dekhne ko tardapta hoon,

tujhe sunne aur dekhne ki kashmakash mein,
har baar main tujhe yaad karta hoon.

kabhi aisa lagta hai ki tu mere paas hai,
to kabhi lagta hai ki tu bahut door hai,

aaj bhi main tera saath mehsoos karta hoon,
phir bhi dil mein kuch kami si hai,

iss saath aur doori ki kashmakash mein,
har baar main tujhe yaad karta hoon.

yeh bolo kahaan se chale aa rahe ho

paseene paseene huye jaa rahe ho,
yeh bolo kahaan se chale aaa rahe ho,

hamein sabr karne ko kehto rahe ho,
magar dekhlo khud hi ghabra rahe ho,
yeh bolo kahaan se chale aa rahe ho?

yeh kiski buri nazar tumko lag gayi hai,
barishon ke mausam mein door jaa rahe ho,
yeh bolo kahaan se chale aa rahe ho?

yeh aaina hai, yeh to sach hi kahega,
kyon apni hakikat se katra rahe ho,

paseene paseene huye jaa rahe ho,
yeh bolo kahaan se chale aa rahe ho?

woh aate the aur sarmaate the

woh aate the aur sarmaate the,
aur kya-kya adayein dikhate the,

saare aarmano ko jhan-jhord diya,
unki berukhi ne sawan ka bhi mukh mode diya,
kuch iss kadar apna dil tord diya. 

sookhe patton pe khwaab likhata hoon

sookhe patton pe khwaab likhata hoon,
hawaon par kitab likata hoon.

koi bhi kuch poochta nahin,
main kis ka jawab likhata hoon.

woh mere wafaon se darate hain,
hath bhi saham ke pakarate hain,

pyar lete hain udhar ho jaise,
main kab hisab likhata hoon.

sookhe patton pe khaab likhata hoon,
hawaon par kitab likata hoon. 

zindagi hamsafar ke bina adhuri nahi hoti

chaahat uska naam nahi,  jisse chaaho usse paa lo,
chaahat to woh dariya hai, 
jisme maujaun ke saath khud ko baha lo.

chaahat bhale hi sachhi ho, par kabhi puri nahi hoti,
aur zindagi hamsafar ke bina adhuri nahi hoti.

isliye hamne mohabbat ko apna dushman maan liya,
akele hi zindagi ko jeena seekh liya,

phir bhi hamari chahat ko, hum bhula nahi paaye,
chaahat unki sachhi ho ya joothi, hum uske bina reh nahi pate,

pyaar karke bhi hum tannha hue, 
bhari mehfil mein hum rusva hue,
dil se chaahat ko bhulakar bhi haum kabhi na aabad hue.

aaj phir barsaat ka bahana hai

aaj phir baarish ka bahana hai,
kisi ki yaad mein kho jaane ka mausam hai,

aaj tamannaoon ko umadna hai,
aaj phir kisi ki yaad mein aanshuon ko behna hai,

jo saath bitaye the kabhi.. unke
un paloon ko yaad karna hai,

haste hue barsaat mein bheeg ke,
apne aanshuon ko chupana hai,

dil mein jo aag aap ke liye,
usse barsaat se bhujana hai,

aaj phir barsaat ka bahana hai!

someone not so you...

because you made me happy,
because you made me cry,
because you made me angry,

because you ignorant,
and you smile,
and you cry,
and you are destructive.

your character is your flaw,
I want to pinch it off your skin 
to make you prefect.

I shed tears when you prove me true.
but I won't allow myself to reveal you.

so I'll think about something,
about something else now.

and as I wait here to cover you,
with my clouds of forgetfulness,
I'll save my emotion for someone,
who deserves them.

someone not so you...

tum mere, baaki sab tumhara

chalo kaynaat banate hain,
tum mere, baaki sab tumhara,

chalo ek nazm sunate hain,
shabad mere, lekin ehsaas tumhara,

chalo ek aashiyaana banate hain,
armaan mere, khawaab bas tumhara,

chalo kuch ilzaam uthate hain,
wafa meri, saath bas tumhara.

seek, discover and embrace with openness

you are on your way..
your accomplishment is commendable,
you are awesome,
keep your dreams alive,
the best is yet to come.

and take time to celebrate,
you deserve it,
success has no limits…

there are no limits
to what you can do.
your talants and abilities,
your uniqueness and warmth,
your strength and dedication
in everything you do..


all of these will help you
to reach your dreams.

there are no limits
to what life has to offer to you.
the world is full of possibilities,
just as you are filled with promise.
seek, discover, and embrace with openness.

the richness of experience.
belive in yourself,
and you will always know success.

waade pe aapne jab woh mukkar gaye

waade pe aapne yaaron, jab woh mukkar gaye,
lakhon hi zakhm mere, dil mein ubhar gaye,

jinpe tha humko khud se badhkar yakeen kabhi,
khanjar woh banke yaaron, dil mein uttar gaye,

bhaale lakh bachte yaaron, hona tha yeh magar,
gham peeche hi chale hai humare, hum jidhar gaye,

aauron ko chord jisne bhi, khud pe kiya yakeen,
mere khayal se woh, sab hi sawar gaye,

jo dusron ke ghamnon ko, samet-te rahe sada,
"raaj" jaise log yaaron, yun hi bhikar gaye.

lakhon ki hain koshishein humne tumko bhulane ki

lakhon ki hain koshishein, humne tumko bhulane ki,
chordi nahi kami koi, tumne bhi yaad aane ki,

baad tere jee paane ki khata humse hui nahi,
aayi hai ab baari meri, aeh yaar kasam nibhane ki,

kaise lagaye hum gale, tere baad zindagi ko sanam,
humnein to khayi hai kasam, tere pyaar mein mit jaane ki,

yaad aata hai har pal, woh gali tera, woh mohalla,
hoti nahi kya koi dawa, sab yaadon ko mittane ki?

baad yaar ke "raaj" mein na ruh baaki na jaan hai,
kar do rasam poori, iss deh ko tum jalane ki...!

lagta hai mann mein milne ki aas liye mar jaayenge

lagta hai mann mein milne ki
aas liye mar jaayenge,
ek adhoori chahat ka
itihaas liye mar jaayenge.

unki ek jhalak bhi
kabhi na mil paayegi,
kabhi na bujhne waali
pyaas liye mar jaayenge.

agle janam mein hi
shaayad ho unse madhur milan,
hum to kewal ek yehi
biswaas liye mar jaayenge.


mazdooron ki kismat mein kyon rona likha hai

mazdooron ki kismat mein kyon rona likha hai?
sar par sada 
kyon bhojh dhona likha hai?

zindagi bhar yeh mehal banate hain phir bhi,
mukaddar mein 
kyon jhauprdon mein sona likha hai?

banayi hai aisi 
kyon khuda takdeer inki,
aur ismein kyo tumne sada khona likha hai?

yeh karte hai sakkar jab sapne sabhi ke,
inke hisse 
kyon kanto ka bhichauna likha hai?

gar ismein khuda ki, marzi samajh le to,
kismat mein inki 
kyon, bas sapne sanjhona likha hai?

hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi

beet chuki hai raat ab jo, afsaane to wohi sunayegi,
hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi.

hariyaali jhadi hai jab perd se, patjhad ki kahani sunayenge,
mohabbat mein khayi jo haar hai, to nagmein aanshoon rulayenge,
chaat pe chadh door jitna bhi dekhein, raat nabh ke taare dikhayegi,
hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi.

jala hai patanga deep mein, jab bhawrah phool mein band hua hai,
mohabbat hi aage laata hai dil, jab papihe ki pi-pi sunta hai,
hamesha hi humnein yahi mana, mohabbat ki ruh tarpayegi,

hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi. 

zameen pe ab ho raha hai kya, ithaas bankar dohraayenge,
aur baaton ki tarah isko bhi log, ek din bhool jaayenge,
jo bhi hai aaj, kahani woh kal hamari zubaan yeh batlayegi,

hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi. 

kaanta chubha gar paav mein to, uss zakham par dard hi hoga,
ghabrao nahi mere dost, zakham waqt aane pe bhar jaayegi,
aagosh mein waqt ke beithi hai, jo zindagi to thoda rulayegi,

hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi. 

din hai dooba aur raat hai aayi, so jaa sapno mein kho jao,
nahi pa sakte ho din mein jo, tum raat sapnon mein paa jaao,
jas dard sahoge aaj gar to, subhah suhanni hokar aayegi,

hota hai din jab ek nagma, raat ussi ko to gungunayegi. 

kitna shaur tha, kitni garmahat thi mahaul mein

kitna shaur tha, kitni garmahat thi mahaul mein,
hans rahe the woh aur khushi thi hamare bol mein,

ki ek angdaai li zindagi ne, apni taakat dikhayi,
dhamm se dhamak di, achanak khamoshi chaayi,

chhayi aisi khamoshi ki phir naa koi dastak kaam aayi,
thamm se gaye kadam, koi raah bhi samajh naa aayi,

nazar lagi kisi-ki yaa yeh pehlu ek aur inn rahon ka,
jisne bujha di lau, woh jis pe thi kabhi zindagi jhilmilayi.

I can, you can, we can

do all the good you can,
by all the means you can,

in all the ways you can,
in all the places you can,

at all the times you can
to all the people you can

as long as ever you can
success does come in cans,


I can, you can, we can!

apne liye hi jo jiye to kya jiye ho tum

yun to kat hi jaati hai yaaron, rote hue bhi zindagi,
lagegi haseen magar, tum zarra sa muskura kar dekho,

miloge jab bhi mehfil mein, sada khush paoge humko,
gham dekhne ho to humare, tanhai mein aakar dekho,

raah-e-mohabbat mere yaaron, khel nahi koi baccho ka,
jaan jaoge tum khud hi, dil to laga kar dekho.

gar pyaar karoge pyaar milega, yaad rakhna tum itna,
milega gulshan badle mein, ek phool kilakar dekho.

apne liye hi jo jiye to kya jiye ho tum,
auron ke jeewan mein to zarra, tum deep jala kar dekho!

main aur mere kagaz ke panne

main aur mere kagaz ke panne,
yehi to hai jo dete hain saath,

yehi to hai jinse kuch ajeeb hi rishta hai humara,
humaare dil ki gehraiyon ka ek yahi to hai sahara,

in paar hi to hum apne dil ki baatein,
apni shaayri uttarte hain,
inhi se to hum gham se lekar khushi dono hi baatte hain.

kabhi jo tum fursat paao

zindagi ke jadho-jahad se kabhi jo fursat paao,
jab tere dukh, teri kosish tujhe veeran kar de,

sabar ka sabab tere dil ko bhi challi kar de,
jab lage koi nahi tujh se mohabbat kerta,

to mere paas...
phir se paas mere laut aana.

dil apna patthar bana liya

teri yaad mein aanshun ka samandar bana liya,
tanhai ke sehar mein apna ghar bana liya,

suna hai log pujte hain patthar ko,
issliye dekh.. dil apna patthar bana liya.

kaun kehta hai ki pyaar kabhi poora hota hai

zindgani mein jab kisi ko pyaar hota hai,
lab pe khamoshi aur seene mein toofaan hota hai,

nazrein milte hi ek ankaha ikraar hota hai,
har pal milne ko dil bas bekarar hota hai,

lagte hi zamane ko khabar, yeh pyaar nilaam hota hai,
mohabbat karne walon ka bas yahi anjaam hota hai,

waqt ke saath yeh zakham aur bhi gehra hota hai,
dil mein yaar ki judai ka bas dard bhara hota hai,

kaun kehta hai ki pyaar kabhi poora hota hai?
theek se dekho.. sacha pyaar hamesa adhura hota hai. 

I believe in myself

I believe in my dreams,
I will never loose hope,
I believe in my ambition,
so with competition I can cope.

I believe in my talents
and will make the best of it,
I believe in my future
for which I will work bit by bit.

I believe in my abilities,
I will make my own name,
I believe I can do it
so I can win life’s game.

I believe in my strengths,
I want to lead the throng,
I believe in almighty God
who keeps us from wrong.

I believe in my vision,
I trust my instincts,
I believe in reality,
so my fate never gets jinxed.

I believe in myself
though the world may not,
now anything is possible
because I believe it is..

aakhri paigaam

ek chote se kaghaz mein ek ladki ke naam ek bayan tha,
woh bayan us ladke ka tha jo pehle kabhi uski jaan tha.

par afsos.. juda huyi unki mohabbat khatam hone se pehle,
aur akele jana tha safar par jiska raasta bilkul veeraan tha.

aaj barso baad mile apne mehbub ki iss chitthi dekh,
dil us masoom si ladki ka yaaron bahut pareshan tha.

sochne lagi khusi khusi to hum juda hue apno ki khaatir,
aur kabhi na karege baat yeh hum do dilo ka karaar tha.

jab pardhne lagi woh chitthi to ladki kuch samaj na payi,
kyuki likha tha,  jo sath gujra woh pal kitna khusgawar tha.

sochne lagi phir aaj yeh mohabbat ki baatein kyu,
kyuki dard pehle hi uske dil mein basa besumaar tha.

pardhte pardhte woh chitthi ko khatam hi kar rahi thi,
ki annt mein us kaghaz ke ek chota sa elaan tha,

pardh ke us elaan ko woh ladki rote-rote wahi gir padi,
woh aakhri elaan yeh tha.. jisne kar diya usko bejaan tha.

ki main dost hoon tumhare mehbub ka, 

woh ab iss duniya mein nahi,
tumhare liye tumhare mehbub ka..
yeh aakhri paigaam tha!

All Time's Favourite Posts