mazhab ke naam par kuch logo ne ek basti jalayi hai,
insaniyat aaj phir thartharai hai,
woh mazhab se karte hain sabko baatne ki baatein,
har mazhab ne to mohabbat sikhayi hai.
khoun to jab bhi gira hai zamin par kisi ka,
issne kaha kisi mazhab se, apni pehchan karayi hai.
jo massom bacche ho gaye yatim
inki kaha kisi se koi lardai hai,
kisi ne apna suhag khoya..
kisi ne bhai, beta khoya..
unse poocho zindagi ne unhein
kitni badi saza sunai hai,
jo kehte hai yeh mandir-mazid, yeh tera.. yeh mera hai,
unke khud ke dil pe siyahi ki chaader si chayi hai,
woh jalana chahte hain har taraf nafrato ke diye,humne bhi mohabbat ki andhiya chalane ki kasam khayi hai,

No comments:
Post a Comment