agar tum aao to

agar tum aao to,
door kisi dariya kinare ki 
geeli ret pe gharonde banayegein,
aur ek nayi duniya basayegein.

agar tum aao to,
sheeshon par padi waqt ki dhool 
par yaadon ki lakeerein kheechein,
aur zindagi ki nayi tasveerein banayegein.

agar tum aao to,
soone veeran pade dil ke 
kisi kone mein umeedein lagayegein,
aur kuch khwaab ugayein.

agar tum aao to,
magar mujhe pata hai,
ab tum na aaogi..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts