dhoka diya hai tune mujhe khud ko badal kar

zindaagi ki rahon mein sath sath chal kar,
dhoka diya hai tune mujhe khud ko badal kar.

ajnabi bankar kyon nazren pher lee mujhse,
gair ki ho chali, mere armano ko kuchal kar.

jis par bharosa tha mujhe khuda se jada,
mere zakhmo ki umar bardhai usne hi namak mal kar.

jis ki har dhadkan tere khwabon mein mehakti thi,
sadme mein aa gaya hai dil, tere gham se dahal kar.

mere aanshuon mein tera koi dosh naa tha dilbar,
wafa ki rahon mein mujhe hi chalna naa aaya sambhal kar.

daulat ke liye kyon badal jaate hain log aksar,
issi soch mein saari raat kati maine, karwaten badal badal kar. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts