na koi humraaz na humsaya mera

na mil saka kahi dhoondne se bhi nishaan mera,
tamaam raat bhatakta raha gumaan mera.

main ghar basa ke samunder ke beech soya tha,
utha to aag ki lapto mein tha makaan mera.

junoon na kahiye isse, bewakufi kahiye,
badan tamaam hua hai lahu luhan mera.

hawain gerd ki surat uda rahi hai mujhe,
na ab zameen hai meri na aasmaan mera.

musibato ke bhawar mein pukaarte hai mujhe,
ajeeb dost hai, lete hain jo imtehaan mera.

kise khat likhu, hal-e-dil sunau kise
na koi humraaz, na humsaya mera.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts