teri yaadein jo tardpati thi raat din

teri yaadein jo tardpati thi raat din unhein kaise bhulata?
tum bin iss khud fareb dil ko bhala kaise samjhata?

sahil ki tamanna thi par pana tha mushkil,
dil-e-samandar ke bhanwar mein bhala kaise dikhata?

jab dard the beshumaar, tab tum bhi the anjaan,
patthar ho chuki in aankhon ko bhala kaise rulata?

rota tha chandni raaton mein tere khaton ko pardh ke,
main ashqon se likhe un panno ko bhala kaise jalata?

mere naam ki mehndi rang lati nahi un haanthon pe jab,
khun-e-jigar se un haanthon ko bhala kaise sajata?

jo shamma aaj bhi roshan hai tere intezaar mein,
ghar ke munderon se woh chirag main bhala kaise bujhata..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts