kayi saal pehle chord gaya tha mujhe koi inhe tannha raahon pe,
mit chukki ek ummid liye bebas aankho me karaar dhoondhta hoon,
har taraf muskurate hain chehare aur khushiyan bikhari si hain,
beraham si kismat liye main bahaar dhoondhta hoon,
kaise maan lu ki iss kadar chhin jaayegi mujhse meri zindagi ek din,
teri tasveer ko seene se lagaye teri aankho me wahi ikraar dhoondhta hoon,
jo mere maathe pe sikkan dekhte hi mujhe seene me chhupa leti thi,
aaj aanshu bhari aankhe liye bichhda hua woh yaar dhoondhta hoon,
ab bhi jaata hoon unn kinaro pe jahan fizaon me teri khushbu bassi hai,
un masoom si hawao me teri aahat main kayi baar dhoondhta hoon,
saath waqt ke rishton se bahut door jaa chukka hoon main,
matlab ki iss duniya me ek khoya hua sansaar dhoondhta hoon,
ab kahan ehsaas hota hai in saanso ke chalne ka mujhe,
ek zinda laash hoon main,

ab to bas apni sone ke liye samshaan dhoondhta hoon,
to kya hua jo seham jaata hai ye dil pyar ke naam se hi ab,
dil hi me jo kho gayi hai,

un yaadon me aaj bhi pyar dhoondhta hoon,
main bas tumhein dhundata hoon.......
main bas tumhein dhundata hoon.......
No comments:
Post a Comment