dard aur tanhaiyo se bhari hai zindagani meri

mere ghar ki deewaro mein chupi hai kahani meri,
aanshoo kahi dard aur tanhaiyo se bhari hai zindagani meri

kya kya naa gujra saath mere yeh humse kya poochte ho,
woh raat woh chaand bhi de raha hai gawahi meri,

roya tha main saath mere mera bistar bhi roya tha,
aasmaan se barsa tha paani, huyi thi jaghasai meri,

kab ka dafna chuka us dil ko jo kabhi dhardakta tha,
lekin ghar ki dar-o-diwar mein nazar aa jati nishani meri,

har patthar ka tukda khuda nahi hota ye jante the hum
phir bhi humne usko khuda mana ishse jhalakti hai nadani meri,

mere ghar ki deewaro mein chupi hai kahani meri,
aanshoo kahi dard aur tanhaiyo se bhari hai zindagani meri

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts