koi humse pooch kar to dekhe

na de paayi khushiya, to kya gam hai,
jee bhar ke mila dard, wo kya kam hai,
meri wafa ke badle chahe de dena mujhe pyar ki parchhai,
par aye khuda, na dena mujhe ashkon me bhigi tanhaayi…

barda keemti hai ye aankhon ka paani,
isse khuda ne sirf dukho ke liye chunaa hai,
isse yuhi kisi ki yaad me jaaya nahi karte,
ye sab humne logon ko kehte suna hai....

koi humse pooch kar to dekhe,
ki ashkon ke kitne saagar humne bahaaye hain,
saari umar inhi ko peeya hai,
aur inhi se to hum nahaye hain....

un andhero me jab na koi kareeb tha mere,
issi tanhaayi ne to nibhaya tha mere saath,
par kya ek pal ko bhi toone socha aye khuda,
teri ussi tanhaayi ki wajah se hi,
nahi thama tha kisi ne mera haath...

rone ko to ro lunga mein jaar-jaar,
tapkenge ye aanshu ek nahi hazaron baar,
par uss tanhaayi me bhi nibhane wala koi saath to ho,
tannha hi sahi, par dil ki koi baat to ho....

ab to ghut raha hai dum mera iss tanhaayi me,
aur dikh raha hai chehra uska, apni hi parchhai me,
ab aur kitna andhere baaki hai iss tanhaayi me,
iss seene me jal raha hai ek dil yaadon ki gehraayi me...

ek muddat se nahi dekha usse,
ab to intehan ho gayi hai intezaar ki,
aur sookh rahi hai ye aankhein ummid me uske deedar ki,
baat na sahi, par uska ek message to dila de,
ek pal ko hi sahi, par uss sakhas se to mila de....

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts