tum bhool jaao mujhe yeh tumhari marzi

mat kar yeh waade, yeh irade mujhse,
tere jaane ke baad yeh baatein pareshan karengi.

jeena to mera mushkil hoga,
marna bhi mera dushwaar karengi.

tum bhool jaao mujhe tumhari marzi,
meri to raaton ki needein bhi yeh haram karengi.

din to daffter ki dahleez mein guzar jaayenge,
phir chandni raatein chubhan humein saari-raat karengi.

teri yaadon ka hi toffa samajh, chupa rakha hai dil mein,
yehi to sanam mere marne ka intezaam karengi.

tere shehar jo milne naa ja paaye shayed,
yeh majburiyan hi meri mohabbat ko badnaam karengi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts