bewafaon ki basti se wafa dhondne nikla tha

kabhi sawaal dil mein le kar jawaab dhondne nikla tha,
main bewafaon ki basti se wafa dhondne nikla tha,

kya ajab silsala tha unki muskurahton ka,
main un muskurahaton par jaan dene nikla tha,

kya andaaz tha us ki mehkti hoyi chahaton ka,
jin chahatoon par main sab kuch kurbaan karne nikla tha,

jab thokar lagi to ye khayal aaya ki,
main apni hi zindagi bar'baad karne nikla tha...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts