kya woh ab mujhse pyar kerti bhi hogi

jiski tasveer hum har waqt dekhte rehte hain,
ek nazzar bhi woh shaks mujhe dekhti na hogi,

yeh labb jo sada unka naam lekar dua mangte hain,
pata nahi ab to mera naam bhi usse yaad nahi hoga,

yeh pagal dil mera usse sadiya deta hai,
ek baar bhi uska dil mujhe pukarta na hoga,

meri aankhein har pal uska rasta dekhti hai,
wo to khawabon mein bhi mera intezaar karti na hogi,

jiske liye mera mann tarasta raha,
shabb-e-tanhai mein meri tarah woh tadapti na hogi,

humne to unko haathon ki lakeeron mein dekha hai,
woh shaks kabhi bhi mujhe aise talaasha karti na hogi,

uska ehsas mujh mein lahoon banke beh raha hai,
mujhe woh khudke aanshuon mein bhi pati na hogi,

humne to apne naam ko unke naam se jorda tha,
mere aur unke rishte ka usse khayal bhi aata na hoga,

jissko humne khawabe-e-zindagi mana tha,
woh to mujhe apna dukh bhi maanti na hogi,

woh meri manzil meri takdeer ban chuki hai,
juda rastoon ko meri tarah woh ek karti na hogi,

woh door rahke bhi mere itne kareeb hai,
ussne to kabhi mujhe mehsoos bhi kiya na hoga,

hey raaj tumne to uski chah mein khud ke wajood ko rang diya hai,
tumne kabhi socha hai woh shaks tumse pyaar karti bhi hogi?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts