kuch iss kadar unse humne pyar kiya hai,
palkein bicha ke iss dil ne unse izhaar kiya hai,
rahon mein unki humne hansi mulakaton ke moti bichaye hain,
khud ko jala ker bhi unhein dhoop se bachaya hai,
bahon mein bhara hai apni, unhone jab bhi thokar khayi hai,
kandho pe sambhala hai, jab bhi unki zindagi mein amavas ki shaam aayi hai,
ab bhi na aaye woh to khuda yeh teri aajmaish hogi,
mere mann mein basne ke liye base pyar ki numaish hogi,
nahi de sakta ab main pyar ka imtihaan isse zyada,
yeh intezaar ki ghadiyan kya mere maut ke baad hi poori hongi??

No comments:
Post a Comment