raaj ka dil kahi dafnaya jaye

zamane ka chalan apnaya jaye,
humare ishq ko thukraya jaye,

gunaah-e-ishq ki himmat kare jo,
usse taa-umra tak tardpaya jaye,

suna hai sab mohabbat kar rahe hain,
hamare kisse ko farmaya jaye,

bahut kambkht dil ke raste hain,
janha se laut ke aaya na jaye,

na jane kyun sakun milne laga hai,
mere majhi ko phir dohraaya jaye,

jinhein guman hai ulfat pe apni,
nasamjh hain unhein samjhaya jaye,

dard mashoor phir se ho raha hai,
“raaj” ka dil kahi dafnaya jaye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts