yeh kaisi hawa hai jo mujhe choo kar gayi hai

yeh kaisi hawa hai jo mujhe choo kar gayi hai,
tumhare wajood ko mujhse mila kar gayi hai,
beete lamhon ka ehsaas dila kar gayi hai,
ek aisi na khatam hone wali pyaas jaga kar gayi hai.

dil mein soye armaan jaga kar gayi hai,
saath beetaye huye lamhon ka hissab dilha kar gayi hai,
mohabbat ke woh nagame suna kar gayi hai,
yeh kaisi hawa hai jo mujhe choo kar gayi hai.

pyaar mein doob jaayen aise armaan jaga kar jayi hai,
sagar ki laharon ki jhankar suna kar gayi hai,
bansuri ki surily awaaz madhosh kar gayi hai,
yeh kaisi haawa hai jo aaj, mujhe choo kar gayi hai.

yeh hawa to tumhe choo kar aayi hai,
tumhari khushbu layi hai.
milne ki aarzoo issi ne jagayi hai,
pyaar ka sandesha layi hai.

hawa ka jhonka jab choota hai,
har ahsaas anootha hai,
mere sath huya hai yeh
ya kabhi na kabhi sab ke sath hota hai?

yeh kaisi hawa hai jo mujhe choo kar gayi hai,
tumhare wajood ko mujhse milakar jayi hai,
beete lamhon ka ehsaas dila kar gayi hai,
ek aisi na khatam hone wali pyaas jaga kar gayi hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts