mujh ko aapni dil mein sada zinda rakhna

jab bhi bichrdu, phir milne ki dua karna,
muskura ke milna, jab bhi kisi se mila karna.

kho diya hai zindagi mein hi zindagi ko kahi,
khabhi khud se bhi milne ki koshish karna.

beete din hai bas yaad bankar pass reh jaate,
roo du, youn naa khabhi humko yaad karna.

raahe zindagi mein aise bhi mukaam aayegi bahoot,
reh jaaun jab tanha to khud hi aapna saathi banna.

hai naakaam to kya magar hai to mohabbat hi,
isko dil se khabhi aapne naa juda karna.

mujhe gham to hai ki zindagi mein tum na mile mujh ko,
ek guzaarish hai ki mujh ko aapni dil mein sada zinda rakhna.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts