rafta rafta

subah jayegi rafta-rafta, sham ayegi rafta rafta,
aise hi zindagi yeh beet jayegi rafta rafta,

abhi din ki yaadon ko ruksat main kar doon,
jara chand ko apni baanhon mein bhar loon,
tere khawabon se palkein jab hongi bhaari,
to neend aayegi rafta rafta.

abhi to khuda ka ishara hua hai,
woh khul ke bulayein meri yeh dua hai,
baaton hi baaton mein phir baat dil ki,
khul hi jayegi rafta rafta.

jara si baat samajhne mein bhi lagte hain zamane,
nayi bastiyon mein thokerein khate hain sayane,
girte sambhalte chalte rehne se manzil
hath aayegi rafta rafta.

uthi hai abhi to mohabbat ki mehfil,
abhi unki yaadon mein khoya hai yeh dil,
abhi bichhde hain, woh abhi to gaye hain,
yaad jayegi rafta rafta.

sath guzre haseen lamhon ki,
yaadon ko hum bhula ke dekhenge
rafta rafta...!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts