kya samajh nahi aata hai tumhein

meri aankhon mein dekh,
kya kuch nahi nazar aata hai tumhein?

hai tumse humein kitna pyar
kya samajh nahi aata hai tumhein?

yeh zindagi na kat payegi tum bin
kya taras nahi aata hai tumhein?

saanse tau chalti hai, 
par zinda laash hoon main,
kya asar kuch nahi hota hai tumhein 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts