tu de awaaz to main aaon wahan tu hai jahan

na jaane tu hai kahan,
main hoon jahan tu nahi wahan,
kho gaya tu na jaane kahan,
de awaz to main dhundhu tujhe wahan.

tujhe dekhne ko tarasti hain yeh nigahein,
tere dil ke sath dhadkane ko tardapti hai meri dhadkanein,
tu de awaz to main aaon wahan tu hai jahan.

tere sath chalne ko main bekarar hoon wahan,
jahan khayee thi kasamein sath jeene ki,
tere sath baatein karne ko mera mann chah baar baar kare,
jo reh gayi adhuri wo karni hai baatein puri,
tu de awaaz to main aaon wahan tu hai jahan.

kar do maaf jo ki maine khataaein,
yaad to kar lo meri wafaaein,
tu hai meri manjil, tu hai mera sahil,
tu de awaaz tou main aaon wahan tu hai jahan.

o mehkti hawaon, sunhari fizaon,
de khabar mere yaar ki,
suna meri fariyaad usse,
kaho usse bula le mujhko.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts