bin unke zindagi dard hai, tannhai hai,
meri aankhon mein kyun maut simat aayi hai.
kehte hain log ishq ko ibaadat yaaro,
ibaadat mein phir kyun ruswayi hai.
woh na aaye dil ko lubhane mere,
par shaam hote hi unki yaad chali aayi hai.
mehfil mein reh kar bhi tannha rehna,
yeh adaa unki mohabbat ne sikhlaayi hai.
yeh bhi unki mohabbat ki inaayat hai yaaro,
main tamasha hoon aur duniya tamaashaayi hai.
intezaar mein kisi ki na raat ko barbaad karna,
doobte taaron ne mujhe yeh baat samjhaayi hai.
unse mera rishta kuch aisa raha hai yaaro,
jab bhi socha unhein aankh bhar aayi hai.!

No comments:
Post a Comment