hum ne bahot der unka intezaar kiya

woh mera dil meri jaan sab kuch thi,
par us se yeh kehna bohat mushkil tha,

yun to woh bhi humse mohabbat karti thi,
magar kehne se na jaane kyon darti thi,

hum ne bahot der unka intezaar kiya,
na jaane kyon na us ne izhaar kiya,

uske bin jeena muskil hoga, dil ne mujhe batya tha,
par uski ek muskurahat ne mujhe jeena sikha diya,

woh meri hai maine dil ko baar baar samjhaya,
lekin mera ek anshu bhi usse rok na paaya,

mere dil ne usse baar baar pukara,
magar us tak awaz na pohanch payi,
maine usse ek baar jo dekha
to nazrein jhuka na paya,

woh pakeeza dil woh gehri aankhein,
main khud ko samjhaa hee na payee
aur un aankhon mein jo chamak thi,
woh kisi aur mein na nazar aayi. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts