jo soojhi na koi baat to hum toot ke roye

choota jo tera haath to hum toot ke roye,
tum jo na rahe saath to hum toot ke roye,

chahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne,
paayi jo yeh saughaat to hum toot ke roye,

khabar na thi door tak, na koi khoj teri,
dekhe jo yeh halaat to hum toot ke roye,

anjaan the hum ab tak dard ki surat se,
huyi jo mulakaat to hum toot ke roye,

logon se bahut poocha sabak veerani ka,
jo soojhi na koi baat to hum toot ke roye,

thi dhoop bahut tez har samay judaayi ki,
barsi jo na barsaat to hum toot ke roye,

din bhar to rahe chup ke duniya ki nazron se,
bheenga jo saari raat to hum toot ke roye,

samjha tha monika tujhko apna hi ek hissa,
tukdon mein batti tune jaat to hum toot ke roye,

hum karte rahe kyun uss chaand ki khawhish,
yaad aayi jo aukaat to hum toot ke roye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts