yeh haseen nagma aaj tu mujhe gungunane de

yeh hassin nagma aaj tu mujhe gungunane de,
pyaar mein jeene de mujhe iss mein hi mar jaane de,

sadiyo se zindagi guzari hai tannhaiyo mein,
ek anjaan se saaye mein ghum ki parchaiyo mein,
dil dukhaya hai bahut mausam ki angdaiyo mein,


aaj to tu mujhe iss barish mein bheeg jaane de,
yeh haseen nagma aaj tu mujhe gungunane de.


jab-jab chalti thi purwaai humein barda jalati thi,
ghumard-ghumard kar kaali ghataye bahut darati thi,

tu mere pass nahi iss ki mujhe yaad dilati thi,

tere hone ke ehsaas ko hakikat mein badal jaane de,
yeh hasin nagma aaj tu mujhe gungunane de.

muddato baad aaj hum phir mile hain tumse,
aarzu yehi hai ki yuhi lipte rahein tumse,

rehna dil mein mere yahi guzarish hai tumse,
unki mehfil mein kuch pal aur raaj ko beetane de,
yeh haseen nagma aaj tu mujhe gungunane de.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts