phir se hogayi mohabbat mujhe

phir se hogayi mohabbat mujhe,
aaj in zindagi ki raahon mein,
basa lenge apni duniya usmein,
so jaayenge uski baahon mein.

jab dhoka mila humein,
mohabbat ke naam se nafrat si hogayi,
ab jeena sakenge iske bina,
aaj humein mohabbat ki zaroorat si hogayi.

yeh andaaz galat tha apna ke,
mohabbat sab ko barbaad karti hai,
mohabbat se chalti hai duniya,
mohabbat duniya abaad karti hai.

chot khaane ke baad mohabbat mein,
aas na thi phir dil lagaane ki,
ab hogaayi humein phir se mohabbat,
dua hai ke nazar na lage zamaane ki.

mohabbat na hoti to jeene ka kisi ko mazaa na milta,
mohabbat na hoti to gulon ko woh haseen fizaa na milta,

mohabbat paak hai...
log iska naam leke sab ko barbaad karte hain,
aur jo barbaad hote hain,
woh na jeete hain aur nahi marte hain.

bharosa hai ke phir na dukhega,
dil hamara mohabbat ke naam se,
kyun ki chahate hain hum usse,
jaanasheen apne dil-o-jaan se.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts