har dum mujhe kyu woh hi yaad aata hai

kabhi akele mein baithkar yeh khayal aata hai,
ki har dum mujhe kyu woh hi yaad aata hai,

jisne zakhm itne diye,
jisne sabhi vaade tordd diye,
kya use bhi kabhi tanhai mein koi gam satata hai?

umra bhar ka sath nibhane ka kehte the jo,
woh chand lamhon ka bhi sath na nibha paaye,
kya itna kamjor pyar hota hai,
kya kabhi usse apne kiye bhi afsos hota hai?

unhone apna daaman phoolon se saja liya,.
humara nata kaaton se jordd diya,
aashma pe bihtakar, pal bhar mein gira diya,
kya yahi usne mujhe meri wafao ka sila diya?

palat ke bhi na dekha ki hum mar gaye ya jee rahe,
kya yahi sab achhai ke naseeb mein aata hai,

uski yaad mein maine kitne aashu bahaye,
kya woh bhi kabhi hum pe zulm karke rote hain?

hai iss duniya mein khuda kahi,
to kya yahi uske darbaar mein nyaay hota hai,
ki har ek begunaah ghamon mein rota hai aur
kasuwar sone ki sej par sota hai?

hum to usmein bhi khush hai,
na kabhi shikwa ki na shikayat ki,
har zakhm hans kar seh gaye,
apne aashuon ko khud hi pi gaye,

par e-khuda itna reham zarur karna,
yeh hasin zulm kisi aur pe na karna,
na karna… na karna!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts