isse pyaar kahoon ya kuch aur

hai agar dard mere geeton mein,
hai agar aanshun mere aankhon mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur?

hai agar lahoo mere shabdon mein,
hai agar tu mere khuwabon mein,
hai agar teri tasveer deewaron mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur?

hai agar tu mere har sawalon mein,
hai agar tu abhi mere yaadon mein,
hai agar tu mere faryaadon mein,
hai agar tu abhi mere waadon mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur?

hai agar tu meri aankhon mein,
hai agar tu meri baahon mein,
hai agar tu meri dhadkhanon mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur?

hai agar tu meri subhon mein,
hai agar tu meri shaamon mein,
hai agar tu meri raaton mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur?

hai agar tera naam mere labon mein,
hai agar tera chehra meri aankhon mein,
hai agar tera zikra meri kavitaon mein,
isse pyaar kahoon ya kuch aur? 

ek ladka aur deewana ho gaya

naa poocho ki subhah thi ki din tha ki raat thi,
har gali har mord har chaurahe par yeh baat thi.
arre suno suno suno afsaana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!


log ek dusre ko suna rahe the,
suna suna kar tahake laga rahe the.
ki jabse dekha hai usne us ladki ko,
kho betha hai apni neend aur chain,
rehta hai har pal woh bechain.
naa lagti hai use bhookh, naa lagti hai pyaas,
har samay rehta hai bas usse bas usse milne ki aas.

sabne kaha yeh kissa to puraana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!


sabne samjhaya usse, jaa kar le usse baat,
tabhi katega din aur tabhi kategi raat.
bitaa uske saath ek hansen shaam,
tabhi milega tere bechain dil ko aaraam.
usne bhi suna diya jaa kar haal-e-dil,
ladki bhi thi naadan foran gayi pighal.

sabne kaha yeh to ishq ka bahana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!


milta tha ab usse woh har din,
kehta tha jee nahin paaonga ab tere bin.
ladke ke paas bas yehi kaam tha,
aankho mein ussi ki soorat hothon pe ussi ka naam tha.
dekthe hi dekhte bitne waala saal tha,
ladke ka pyaar mein bura haal tha.

sabne kaha yeh to shama kaa parwanna ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!


kab tak chipate woh apna pyaar zamane se,
ek din pata chal hi gaya ladki ke ghar walo ko kisi bahane se.
bas phir kya.. jo nahin hona tha ho gaya,
roz roz ka chip chip ke milna band ho gaya.
ladki ke ghar mein shaadi ki baat hone lagi,
pyaar ke ujaale mein din se raat hone lagi.

pyaar ka dushman phir ek baar zamana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!


ladka bola "chal bhaag kar, kar le shaadi,
ladki boli "mujhe nahin chahiye aisi barbaadi.
ladka bola "pyaar hai phir kyon yeh doori hai,
ladki boli "samjha karo jaan meri majboori hai.
marta kya naa karta.. maan gaya uski baat,
ab to pehle se bhi bure the uske haalaat.

accha uska dil ka lagaana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya...!

aaj kal rehta hai woh apne mein hi gum,
woh kya karega khud usse hi nahin maaloom.
milta hai to pareshhan hota hai,
naa mile to bechain rehta hai.
maaangta hai usse bhagwaan se har pal,
umeed rakhta hai bitayega uske saath aane waala kal.

isse bhi ishq kaa najraana ho gaya,
ek ladka aur deewana ho gaya....!!

tu nahi to kuch bhi nahi

ankhon mein hai surat teri,
dhardkno mein basi hai tu,
zindagi mein hai nasha tera,
tere bina to main udas hoon. 

tu hai to baharein hain,
tu nahi to patjhard hai,
tu hai to sawan hai,
tu nahi to sab jageh aakal hai.

tu hai to sangeet hai,
tu hai to zindgi hai,
tu hai to main bhi hoon,

tu nahi to kuch bhi nahi, 
kuch bhi nahi hai.

tere bin

tere bin khatm hoti nahi ye rahein,
tere bin suni-suni hain baahein,

tere bin pyasi hai ye nigahein,
tere bin bharta raha main aahein,

tere bin kat ti nahi ye raatein,
tere bin sukhi hai barsatein,

tere bin bigard jati hain baatein,
tere bin kha raha hoon main laatein,

tere bin sirf hai tanhai,
tere bin sari duniya bewafai,

tere bin chord gayi meri parchai,
tere bin sang mere sirf duhayi,

tere bin ban gaya parwana,
tere bin bhoola main har afsana,

tere bin pagal hua ye deewana,
tere bin mar jayega ye jana,
tere bin...

woh humein tardpane ka hunnar rakhte hain

kaya kahu ki kya baat hai in baaton mein,
naa jane kyu apna sa ehsas hai in baaton mein,
kehne ko ajnabi hain hum tum magar,
ek rishta hain teri aur meri nigahon mein.

naa bhool kar bhool paaun tujhe,
woh nasha hai teri yaadon mein,
har mord par mil jaate hain hum aksar,
naa jaane kya rishta hai humara in ajnabi rahon mein.

jo mil kar bhi naa mil paye
aur milne ki hassrat rakhte hain,
yeh wo nazrein hain jo,
dil waalon ka chain-o-aman rakhte hain,
woh tardpate hain khud sada,
aur humein tardpane ka hunnar rakhte hain.

pyaar lage agar mera sachha

meri bewafai ka jab tumhein pata chale,
mujhe tum maut ki neend sula dena,

mat yaad mujhe tum karna kabhi,
mujhe tum dil se apne mitaa dena.

par pyaar lage agar mera sachha,
kuch to meri chahat ka silaa dena,

mera jism to kya.. rooh ko bhi meri,
tum pyaar se apne bheega dena.

tere bina yeh raatein

tere bina kaise meri guzarengi yeh raatein,
tannhai ka ghum kaise sahengi yeh raatein,

bahot lambi hai yeh ghadiyan intezaar ki,
karwat badal-badal kar katengi yeh raatein,

teri yaadein hai basi zameen se aasmaan tak,
dekh kar haseen chand royengi yeh raatein,

bas jana tum aankhon mein khawab ban kar,
to shayad zara sa sambhlengi yeh raatein,

bhula na paoge tum meri mohabbat ko kabhi,
aawaz de kar roz tujhe bulayengi yeh raatein.

mujhko to unhein bhulna bhi na aaya

wada kiya tha unhone mujhse ek din,
par unhein us wade ko nibhane na aaya,

ruth gaya main unse kisi baat pe jo,
to phir kabhi mujhe woh manane na aaye,

tut gaya woh pyaar bhara khwaab,
jab woh pyaar ka rishta nibhane na aaya,

dil torda hai aaj unhone mera pyaar mein,
par mujhe to kabhi dil tordna na aaya,

shak tha shayad unko mere pyaar pe,
hume to kabhi unpe shak karna bhi na aaya,

bhul jane ki to aadat lagti hai shayad unki,
par mujhko to unhein bhulna bhi na aaya. 

tere intazaar ki ghadiya satta rahi hai

banke lahoo mohabbat rag rag mein behti hai,
yeh kis ki yaad hai jo mere dil ke paas rehti hai.

har dum khoya rehta hoon jiske khayaal mein,
woh koun hai jo aksar hawaa banke chhu jaati hai.

ek pal ko bhi meri nazron se door nahi hoti ho,
kyun mujhe har cheez ab tumsi hi nazar aati hai.

yeh meri deewangi hai ya ki teri chaahat ka asar koi,
ki abb to neend bhi nahi aati aur raat guzar jaati hai.

bechain hai dard hai.. tardap hai.. bus ek tu hi nahi hai,
aur aise mein tere intazaar ki ghadiya satta rahi hai. 

someday I would want to take some time out for myself

someday I would want to go back to those days,
where I had a bit more time at the end of each day,

the time we friends used to sit on the streets
pulling legs, cracking jokes, watching birds,

the way they used to pull me,
and I despite of flaming inside
behaved as nothing happened…

someday I would want to be a kid again,
playing in the park which was the muddiest,

cycling on the street where all the water had filled,
running to catch the kite on the neighbour’s roof,

bunking the tuitions playing cricket, volleyball,
on being tired, putting the head on my mom’s lap
and just close my eyes to this world.

but dont ask me to go back to those exam days,
the ring of that alarm still haunts me,

someday I would want to take some time out for myself,
would plan a better start to a day, 
rather than just waking up and running to office,

a better end to the day, 
than leaving some coding in between,
and dreaming about that only.

I would just not go to work some day
without having to expalin to anyone, 
without some work,  just for fun some other day,

I would want to be that young at heart again
the eyes would glitter at the sight of a new face,

that nervousness in starting a converstaion,
that concern about the hairstyle and clothing

someday I would again flaunt my 26 again,
without caring who’s gonna mind, who’s not
escape boss’ eyes to install a messenger,

start conferences on yahoo and msn
but then after that day, 
I would come back to this life of mine

as a lot of hardwork has gone into earning this too
this is where I always wanted to be,

and still there is distance to be covered
I will keep moving on,

though I would want some more time in a day,
so that I can sleep more and not yawn in the office.

ab samhal jaate hain auro ko girane ke baad

ab samhal jaate hain auro ko girane ke baad,
haale dil poochte nahi nazre milane ke baad, 

ki dard de to jaate hain muskate hoton se apne,
phir bhi nahi poochte mujhko tardpane ke baad, 

ki har dil aashiya aashiya hoga bas unke mushkrane se,
main lard sakta hoon ab to iss zaalim jamaane se, 

ki dar lagta hai bas mujhko kahin aisa na ho jaaye,
ki woh de jaaye naa dokha kahi koi bahane se.

tere bin lagte fikke sare hain

kitne dil-kash hansi nzaare hain,
tere bin lagte fikke sare hain,

aaj yeh ban gayi hai purwaai,
mujh ko bhate nahi nzaare hain,

ab to tum laut ke chale aao,
dil tumhein de raha sdayein hain,

dil jo tardpa to aankh royi hai,
sath yeh aashmaa bhi roya hai,

shabnami raat bangayi hai,
ab to ajaa.. chali bhi aa tu,

kuch bhi bhata nahi tere bin hai,
zindagi bangayi yeh mataam hai,

raaj kyun ro raha hai tu tannhaa,
be-asar jab yeh teri aahein hai.

agar hum door ho jaayein, kahin duniya mein kho jaayein

agar hum door ho jaayein,
kahin duniya mein kho 
jaayein,

batao kya karoge tum?
humein dhoondoge ya phir bhool jaoge? 

humein awaz doge ya
kisi guzri kahani mein
humara naam likh doge, 

chalo aisa hi kar dena,
tum bhi badal jana,
humein tum bhool hi jana,

magar itni guzarish hai..
humara zikar jab aaye 
to zara sa mukura dena. 

sabko pata hai

pyaar kya hai sabko pata hai,
pyaar 100 dukkh hai sabko pata hai,

pyaar do pal ki khushi hai sabko pata hai,
pyaar umar bhar ka gum hai sabko pata hai,

pyaar mein dil milte hain sabko pata hai,
pyaar mein dil tutate hain sabko pata hai,

pyaar ek mitha ehsaas hai sabko pata hai,
pyaar ek mithi zehar hai sabko pata hai,

phir bhi pyaar mein pard jaate hain kyuki,
ye kiya nahi jaata.. ho jaata hai sabko pata hai.

tere bina meri zindagi adhuri hai

meri bhi ek majburi hai,
ki tere bina meri zindagi adhuri hai,
woh shamme mehfil puri hai jisme tera saya hai,
woh khush naseeb hai tune jisse apnaya hai.

zindagi jeene ke liye sirf baatein hi kaafi hain,
log kehte hain ki sirf yaadein hi kaafi hain,
mere paas to teri yeh yaadein bhi adhuri hain.

meri wafa ke sang teri bewafaai ka,
zeher peena bhi meri ek majburi hai,
haan meri bhi ek majburi hai,
tere bina meri zindagi adhuri hai.

tujhe apne paas bitha kar sabko bhulaana hai

hathon mein hath le kar tera sath nibhaana hai,
tujhko apni mohabbat ka jazbah dikhaana hai,

teri baahon mein aakar sukoon mil jaaye mujhe,
teri zulfon ko apne kaandhon pe bichaana hai,

tu azeez hai mujhe itni main keh nahi sakta,
tera deewaana hoon main bas itna bataana hai,

haseen nazaaron mein, ab mera mann lagta nahi,
tere chehare ko nigaahon ke saamne laana hai,

main kahi baith jaaun tanha, duniya ki fikr mein,
tujhe apne paas bitha kar, sabko bhulaana hai,

jab dekhe tu mujhko t0 chehra khil jaye mera,
har takleef ko apne dil se, mujhe mitaana hai,

main duaa mein maangta hoon, khuda se tujhko,
apna sab kuch kho kar bas tujhe hi paana hai,

khwaabon mein bhi aksar yeh sochta hai,
kya tujhe bhi kuch iss tarha mujhe sunaana hai. 

hum bhi shahrukh se kum nahi

surat surat kya karti ho
surat main koi dum nahi,
agar tum khud ko samajhti ho madhuri
hum bhi shahrukh say kum nahi.

khuda kare ki tujhe aisi beemari lage
tu budhape mein bhi kuwari lage,
darjan ho jayein bacche tere
tu phir bhi hum ko pyari lage.

tannhai woh bimari hai
jiska doctors ke paas ilaaz nahi,
hum iss bimari saye bach sakte hain
agar tumko shaadi se inkaar nahi.

tere baap ko shadi main nahi bulayengaye,
budha phir se gar satthhiya gaya,
to hum to jeete jee mar jayenge.

kyon humse door jaate ho

aankhein band karte hain, tum kareeb hote ho,
kareeb aakar sapnon ko, hakeekat bana dete ho,

ek pal bhi muhskil hua hai, abb tumhare bin,
kyon humein sata ke, humse door jaate ho,

subah shaam sang rahte ho, iss dil mein humare,
raaton ko bhi sapano mein humare chale aate ho,

mehsoos karte hain tumhe har ghadi, har pal ko,
kyon aur kareeb aake dil ki dharkane bardhate ho,

jaante ho chahate hain tumhein dil o jaan se jada,
phir kyon sawaal baar baar apne mann me utate ho.


chup chaap jab karti hain baatein teri yeh ankhiyaan

chup chaap jab karti hain, 
baatein teri yeh ankhiyaan.

chup chaap sunte rehte hain, 
hum teri yeh khamoshiyaan.

chup chaap armaan mere, 
lene lagte hai ab angdayiaan.

chup chaap jab kehti hain, 
kuch mujhse yeh tanhaiyaan.

chup chaap ab dhundhte hain, 
hum teri hi parchayiaaan.

chup chaap ab bajne lagi hai, 
dheemi dheemi shehnaayiaan.

chup chaap jab karti hain, 
baatein teri yeh ankhiyaan.

bol bhi nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga

main khusi se roun ya ghum se chillau yaar,
bas raha hai ya phir chin raha hai mera pyaar.

kaise samjhau main usko, ki mera dil bhi toot raha hai,
tha jaisa bhi ek sahara, woh bhi mujh se choot raha hai.

kisse baat karunga, main nakhre kisko dikhlaunga..?
bol bhi nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga.

ek khusi mili thi mujhe kabhi, aur ab usko bhi khona hai,
rakhni hai hootho par hasi, par usse chupkar roona hai.

ek apna tha par sapna tha, ek jhatke se woh toot gaya,
koi mujhse poochega to aapna kisko batlaunga..?
bol bhi nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga.

ab bhookh nahi ab pyaas nahi.. zinda hone ka ehsaash nahi,
saari saanse de chuka tumhein, baki meri koi saash nahi,

tumse bharta tha pet mera, ab khana kaise khaunga,
peena hai bas neer mujhe so jee bhar ashq bahaunga,
bol bhi to nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga.

ye jaroori to nahi

zindagi sabko mili ho ye jaroori to nahi,
sabke hoton pe hansi ho ye jaroori to nahi,

yun to log bahut se hain jo yaad aate hain,
sabki mehsoos kami ho ye jaroori to nahi.

neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai,
unke aagosh main sar hoye ye jaroori to nahi.

aag ko keet patangon ne samjh rakha hai,
sabko anjam ka dar ho ye jaroori to nahi.

pyar ek ibaadat hai

pyar koi kaam nahi jise niptaya jaye,
yeh koi waqt nahi jise guzara jaye,
yeh koi khel nahi jisse khela jaye,
yeh koi ahsaas nahi jissse jiya jaye,

yeh koi dard nahi jisse dawa di jaye.
yeh koi sheesha nahi jisse torda jaye.
yeh to bus ek ibaadat hai jise hamesha kiya jaye.

hamesa ek dussre k hakk mein dua karenge

hamesa ek dussre ke hakk mein.. dua karenge.. yeh tay hua tha,
mile ki bichhde.. magar tumhi se.. wafa karenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…!!

kahi raho tum.. kahi rahein hum.. magar mohabbat rahegi kayam,
jo yeh khata hai.. to umrr bhar yeh.. khata karenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…!!

udaasiya har ghadi hon lekin.. raastein kaate bhari hon lekin,
jis rah mein hum saath chale the.. sada chalenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…!!

jaha mukkadar milayega ab.. waha milenge.. yeh shart kaisi ??
jaha mile the wahi hamesa.. mila karenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…!!

lippat ke roo lenge, jab milenge.. gham apna apna.. bayan karenge,
magar zamane se muskura kar.. mila kerenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…!!

kisi ke bahoon mein simmat rahi tum.. 
batawo kyu door.. ho rahi tum ??
ki jaan dekar bhi hakk wafa ka.. adda karenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein dua karenge.. yeh tay hua tha...!!


batao... aakhir kyu tumne mujhe baar baar dhokha diya??

I felt so happy that I started to cry

the way you talk to me,
sends chills up my spine.

I thought you were mad,
you said that you could never be mad at me.

you said that if I ever made you mad,
you would tell me.

you made a winnie the pooh quote,
that really made me smile.

when you told me that you were not mad,
I felt a wave of relief come and sweep itself over me.

I felt so happy that I started to cry,
you told me not to cry.

main ab sone se darta hun

main rone se darta hun, juda hone se darta hun,
meri aankhein bolti hain ki main sone se darti hun,

meri ungli pakard lena, mujhe tanha nahi karna,
yeh duniya ek mela hai, tumhein khone se darta hun,

jo hanste ho to kyun palkon ke shaaye bheeg jatw hain,
tumhein malom hai main iss tarah, rone se darta hun,

yeh jab se khawab dekha hai, mujhe tum ek din chord jaoge,
main ab darta hun khwabon se, main ab sone se darta hun.

I never knew how much you meant to me

no one really knows
what kind of bond we share,
and even if I told them
they probably wouldn’t care.

you are very dear to me
I hope you know it’s true,
and now that you are sick
tell me what that I should do?

while you have been gone
a part of me has been lost,
it’s like I have taken our friendship for granted
and now I am paying the cost.

I never knew how much you meant to me
until you went away,
the thought of you being really sick
haunted me every day.

I spent a few days at office alone
and my weekend was such a bore,
a lot of my time was spent in my room
I think my love ready to break down the door.

and now I make this vow to you
to keep until the end,
I will help you through the pain and tears
until our rivers bend.

so if you ever need someone
you know just who to call,
I will be here by the phone
to catch you if you fall.

woh har ek pal mein mohabbat ka naya paath sikha deti hai

woh har ek pal mein mohabbat ka naya paath sikha deti hai, 
gusaa bhi hoti hai to khubsurti ka naya rang dikha deti hai.

ek hi nazar mein woh kayaamat bhi dhaa deti hai, 
aur dusre hi pal mein saare gile mitaa deti hai,

woh kehne ko hoti hain dil ki baat apni, 
aur neend hai kambakht ke sapna bigad deti hai.

waqt mere sath bhi guzar lo

main tumhari khwahish hun,
tum mujhe khuda se maang lo,
main tumhara apna hun,
tum mujhe kareeb se jaan lo,

tumhein bhi pyaar hoga sachcha ek din zindagi me,
iss baat ko meri tum maan lo,

zindagi bahut chhoti si hoti hai,
bas yehi kehta hun tumse ki kuch,
waqt mere sath bhi guzar lo.

main tumhein yaad bhi aaya ke nahi

main tumhein yaad bhi aaya ke nahi
sehar se door safar karte huye?

raah chalte ya kahi baith ke saans lete huye?
aate jaate huye.. be-wajeh kahi rukte huye?

sidhiya chadhte huye.. zulfo ko suljate huye?
ghar mein aaye kisi maheman ki tavajo karte?

chai dete huye haatho se pyali girte?
main tumhein yaad bhi aaya ke nahi?

ghumte phirte huye.. long drive karte huye?
chudiya lete huye, tehaaron mein shopping karte huye?

ghar se jaate huye ya shaam ko ghar aate huye?
bekhayali mein.. kisi khayalo mein kho jaate huye?

duniya-daari se bahut door nikal jaate huye?
main tumhein yaad bhi aaya ke nahi?

pichhale do chaar din gujre hain,
intezaar itna kiya ki sadi ho jaise,
babasi apne mukadar mein likhi ho jaise. 

tere bina khud ko benaam likhoon

apni har subah, har shaam likhun,
yeh meri zindagi, tere naam likhun,


bas jaaye jo dil mein pyaar ban ke,
sochun aisa koi tujhe paygaam likhun,

mera ho kar bhi jo har waqt dhadke tere liye,
iss gustakh dil ko tera ghulaam likhun,

jeete hain aur marte hain har roz hum,
teri judaai ko zehar ka jaam likhun,

aa ke laga lo seene se kabhi tum,
inn baahon ko apna mukaam likhun,

kitne khawaab aur armaan hain sajaaye,
ehsaas aye mohabbat tamaam likhun,

tere ishq se hoti meri pehchaan hai,
tere bina khud ko benaam likhun,

mere jazbaat kaho, ya kaho koi ghazal isse,
main to bas... tera hi naam likhun.

tumhare bin main adhooora sa lagta hoon

kabhi tumse keh naa paaye ki kitna chahte hain tumhe,
kabhi bata naa paaye kabhi jata naa paaye,

chahate hain tumhe zindagi ki tarah,
naa jaane kyon tumhare bin
aajkal zindagi ajnabee si lagti hai,

kyon tumhare bin
main adhooora sa lagta hoon,

khayaal banakar subah shaam
rehte ho tum mere khayalon mein,

to raat ko palkon ke band hone pe,
mere sapano mein chale aate ho,

ab to tai kar liya hai
chalna hai sang tumhare,
ab kadam se kadam milakar
hathon mein haath thaamkar.

zindagi kuch adhuri adhuri nazar aati hai,
tumhare bin naa meri koi pehchaan hai
naa mera koi astitva hai,

ab to bas tumhara pyaar hi
meri zindagi hai.. meri pehchaaan hai... mera astitva hai.

darta hoon kahi kho na doon unko

woh mere pass hain.. kya paas bulaun unko,
dil mein rehti hai.. kaha dhundne jaaun unko,

aaj phir pehli mulakaat se aaghaz karun,
aaj phir door se hi dekh ke aaun unko,

kaid kar loon unhein aankhon ke nihga khano mein,
chahata hoon ke kisi se na milaon unko,

unhein duniya ki nigahon se karun mein mehsoos,
woh wahan ho ke jahan hamesa dekh paun unko,

chalna chahe to rakhe paaon mere seene par,
baithna chahe to aankhon pe bithaon unko,

woh mujhe itne acche, itne pyare lagte hain,
kabhi gir bhi jaaye to palkon se uthaun unko,

yaad se unki nahi khaali koi bhi lammha,
phir bhi darta hoon kahi kho na doon unko.

I would cry forever

red are my eyes that wept all night
with your thoughts on my mind,
I would cry forever.


if you can find the glow of the sun
in the painful eyes,
red with tears flooding,

I would cry forever.

if the tears that flow from my eyes
could be the rain that you want to drench in,
I would cry forever.

the incarnadine heart beats in anguish
if it could be the beat that will keep you going,

I would cry forever.


the grunt of my soul crying in despair
if it could be the music that
you would cherish listening to,
I would cry forever.

itna mat socho

itna mat socho, soch nahi paogi,
meri yaad ki zanjeer se nikal nahi 
paogi,
aa jaao tum meri inn bahon mein,
hum tumhein dil mein chupa lenge,

tum mujh bacha lo duniya ki ruswai se
hum tum ko seene se laga lenge,

phir tum humko mohabat bhara jaam pila dena,
aur hum tere sanso se sabnam ko chura lenge,

mere tutte huye jism par marham laga doge,
apne nazuk hathon se pyas bujha doge,

yun mujh ko tum apna bana logi,
mujh ko tum mujh se chura logi.





tanhai hogi jab tum paas nahi hogi

tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi,
jism mein jaise mere saans nahi hogi.
tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi.

aayegi yeh hawaein tera aanchal bankar kabhi,
royegi yeh aankhein baadal bankar kabhi,
na duwayein hogi, na dawaa paas hogi,

tardpega yeh dil, ghaayal bankar kabhi,
jeene ki mujhe koi aas nahin hogi,
tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi.

khamoshiyon mein teri aawazein dhundha karenge,
mehfil mein bhi tere hi nagme jharenge,
ek baar marte hain log zindagi mein,
tere bin ek baar nahi, hum pal pal marenge,
kya tum bhi mere bin udaas nahin hogi?tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi,

hothon se meri yehi fariyaad aayegi,
sach kehta hoon janam teri bahot yaad aayegi,
gar poocho ki yaadein teri kab tak aayegi?
to kahenge din dhalne ke pehle
aur raat aane ke baad aayegi,
tere siwa kisi aur ki talaash nahi hogi,
tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi..!

tumhara pyaar hamesha mere sath rahe

kuch bhi kar jaau main tumhare liye,
yuhi tumhara mujhpe vishwas rahe,

pata nahi kya hoga aage zindagi me,
chahat to yuhi hai ki tuhi mera humsafar rahe,

bachi huyi yun aakhri palo ko kuch aise jiyun,
bas un aakhri palo me bhi tera sath rahe,

zindagi ki aakhri saans chale meri tab tak,
khuda kare mere sath tumhara pyaar rahe,

likhna chahta hun main ek aisa nagma,
jo marte dam tak tujhe woh yaad rahe,

bas tumhara pyaar hamesha,
mere sath rahe, mere sath rahe...

kahi mere pyaar ko nazar na lag jaaye

dar lagta hai mujhe zamane se, 
kahi mere pyaar ko kabhi nazar na lag jaaye.

bhool nahi paunga phir main kabhi, 
yeh pyaar bhare pal jo uske sang hain bitaaye. 

sath hai aaj woh iss safar mein mere, 
iss safar mein uska sath mujhse chhut na jaaye.

zindagi meri pyaar mein dubi hai uske, 
jaane se uske yeh zindagi khamosh na ho jaaye.

dhadkne chal rahi hain aaj uske naam se, 
kisi din yeh shishe sa dil tut ke bikhar na jaaye.

aye khuda.. rehm kar raaj pe thoda,
sath uska chhutne se pehle hi yeh sanse tham jaaye. 

nazar na lag jaye pyaar ko zamane ki

kya karu main is berehm lamho ka,
har bar intezar main uska kar leta hun,

kya kahu main ab usse kuch yaaron,
uski sb baate main dil se sun leta hun,

karti hai woh pyaari baate sada mujhse,
main uski dil ki baatein samajh leta hun,

aadat si ho gayi hai ab uski mujhe,
ruthe woh to main sada mana leta hun,

hassi ke sath guzarte hain sath me pal,
raaton ki neend uski main chura leta hun,

nazar na lag jaye pyaar ko zamane ki,
chahat ko uski dil me chhupa leta hun,

har pal woh deti hai mujhe khusiyan,
aur ek main hun ki use yuhi rula deta hun.

I don’t know why

I don't know why but my feelings for you are all different?
I don't know why I miss you a lot?
I don't know why I am addicted of you?
I don't know why I cant stay a single day without talking to you?

I don't know why I always wait for you?
I don't know why I cant stop myself when I want to call you?
I don't know why I go crazy when I couldn't talk to you?
I don't know why I always feel you with me?

I don't know why I find my strength in you?
I don't know why I fear loosing you?
I don't know why I feel strange when I don't talk to you, 
even a single day.

I don't know why I trust you a lot?
I don't know why I care for you a lot?
I don't know why I feel weak when I think about your absence?
I don't know why I have not feel this for anybody in this world?

I don’t know why I dream about you?
I don’t know why I always want you with me?
I don’t know why I expact the same from you?
I don’t know why I can't see you sad?

I don’t know why I have been so affected from you?
I don’t know why I am changed after getting you in my life?
I don’t know why I have became much stronger than before?
I don’t know why I am so positive about you?

I don’t know why I am so happy for you?
I don’t know why I don’t want to loose this happiness for ever?
I don’t know why you really mean to me?
I don’t know why I feel its all real

I don’t know why you have really made the big difference?
I don’t know why but you have changed my life.
I don’t know why but its all positive.
I don’t know why but I will not be able to be happy without you.

I don’t know why but I will always love you.
I will always need you.
I will always wait for you forever & ever...! 

everyday without you kills me

it is so hard to go day to day without you.
I miss you so much.

I wait by my cell every day for your call,
I never miss it.

I wish you would call me more,
that would make me so happy!

I wish you could hear me when I call out your name.

you never call just to chat,
you always have a reason to call,
everyday without you kills me.

you sounded worried when I told you 
that I almost passed out today.

if I did pass out,
I would want you behind me to catch me when I fall.

the feeling that I have for you grows stronger each day.
I want you around to control this feeling.

this feeling, this life, this body, this heart...
is all without you.

it will always be this way

as I lie here tonight
trying to get some sleep,
keep thinking of you
my eyes begin to weep.

things are this way because
days we see each other are few,
you are always on my mind
no matter what 
I do.

maybe that’s the reason
can’t stop missing you,
everywhere I go
everything 
I see,
reminds me of times
when it was just you and me.

the times we have shared
are memories I will never forget,

you see I am very lucky
for you and I have met,
a huge part of my life
more than you’ll ever know,
my gratitude to youI don’t know how to show.

the only thing 
I really can say
is “
I love you.”
it will always be this way. 

dil ki dhardhkan pe sawaal karte ho

har baat ka hisaab karte ho,
dil ki dhardhkan pe sawaal karte ho,

kya mera jeena bhi gawaara nahi tumhe,
meri saanson pe bhi sawaal karte ho,

yuh to har lamha mera hi dam bharte ho,
aur ankhon se hi sawaal karte ho,

kyun chupa lete ho meri chaahat ko,
jawab de ke khud,  phir kyun naya sawal karte ho.


aye chand uske ghar ke kitne kareeb hai tu

mujh se bhi jada khush-naseeb hai tu,
aye chand uske ghar ke kitne kareeb hai tu.

main hota to teri jagah din mein bhi na soota,
sara sara din shayad uski chhat par hota,

pagal hai, dewana hai, bada hi ajeeb hai tu,
aye chand uske ghar ke kitne kareeb hai tu.

itna bata de mujhko gar tu mera saathi hai,
mujhe dekhne kya woh khidki mein aati hai?

jaltaa hoon main tujhse, mera prati-dwandi hai tu,
aye chand uske ghar ke kitne kareeb hai tu.

rehna chahoon main har pal tere paas

tu jab aaye saamne,
kuch hota hai mann mein,

tu agar rahe paas,
to mera din dhale khass,

tujhe jab hassta dekhoon,
lage duniya ke sare raang badal dun,

teri khushbu jo aaye,
mera mann bahek jaye,

teri yaadon ke saaye,
mujhe bahut tardapaye,

jo ek roz tujhe na dekhoon,
har pal mein suna behta rahoon,

kya hai yeh ehsaas,
har pal tujhe milne ki hai pyaas,

tu mere liye hain bahut khass,
rehna chahoon main har pal tere paas.

waqt bewaqt aap ko miss kiya karenge

aap ki yaadon ko aanshu bana kar piya karenge,
waqt bewaqt aap ko miss kiya karenge,
aapki yaadon mein marr bhi gaye to kya huwa,
yamraj ke mobile se sms kiya karenge.

kitana badal sa jata hoon bas tera ek sath pane se

mujhko khud malum nahi ki,
ahsas se tumko chhuta hoon,
ek pyas bujhhane ko apni,
ek pyas se tumko chhuta hoon.

hawayon ka chehra le kar
jab sanson se sahlati ho,
main to mar hi jata hoon
tum kaise zinda paati ho.

tab apne bahon mein lekar,
phir shayed zinda karti ho,
sansein chalne lagti hain,
tum jab bhi hath pakardti ho.

kitana badal sa jata hoon,
bas tera ek sath pane se,
badal ordh leta hoon main,
tere bahon mein aane se.

sihar sa jata hai tann mann,
lab jab lab se kuch kahate hain,
duniya bhar ke khwaab sabhi,
in ankhon mein hi rahte hain.

hum kuch kah nahi pate hain,
lab ko lab se lete hain,
khamoshi mein kuch lamha,
teri baahon mein jee late hain.

ayeene se ab jaane kya
aksar main poochata rahta hoon,
itna kyon chahta hoon tujhko,
raaton main sochata rahta hoon.

mere seene par sar rakh ke
tere sapno ko sath le sona hai,
hath bardha ke mujh ko pa lo
ab tera hamesa ke liye hona hai.

tum jis bhi dunya mein ho,
main kahi bhi rahta hoon,
jahan hoon main bas tera hoon,
ab to itna hi kahta rahta hoon.

mere sanso ko jab tumane
apni khushboo se sajaya hai,
mere hisse ka sara dard,
aksar yoon hi churaya hai.

mere tumhare pyar ka
jo bhi koyi kissa hai,
main hi likhta hoon usko par
usmein tera bhi hissa hai.

jab bhi bheegegi aankh tumhari,
mere honth wahin ruk jee lenge,
tere har ansoo ko yeh
boond boond sab pee lenge.

main kya rokun tum kya roko,
ek dooje ko pas ab aane se,
yeh rooh ka rooh se rishte hai,
hum tum hain anjane se.

kadam kadam se antim saasn tak,
har kadam sath ab rahana hai,
maine tum ko ordh laya aur
tum ne mujh ko pahana hai. 

tanhaai ka sannata dekh ghabraa jaate hain hum

tanhaai ka sannata dekh ghabraa ke rah jaate hain hum,
tera har ghum teri hi khatir hans ke sah jaate hain hum.

karna to chaahte hain hum ab tujhse bagabat aye waqt,
lekin tere hi haathon yeh waqt majboor ho jaate hain hum.

tujhe chalte dekha jo sath, humne khushiyan samet li,
un khushiyon ko dafan karne ka sama samet-te hain hum.

jab tu nahi hogi mere aas pass mein kahin to kya karenge,
yeh sochte hain aur ankhon se ashqo ko bahaye jate hai hum.

dost kya baat hua phir jo ghum-e- mahfil mein tum sarik huye,
tera ghum iss ghum-e-mahfil mein phir se duhraate hain hum.

tum khade raho mere paas, har muskilein jhuk jaayegi

tum khade raho mere paas, har muskilein jhuk jaayegi,
ho agar tum saamne mere to ek baar maut bhi ruk jaayegi.

dukhon ki aandhi jhel lunga tere pyaar ke sahare,
muh se uff ! na nikalegi agar saath ho tum humare.

de dekar har zakm mujhe ab tees bhi thak jaayegi,
ho agar tum saamne mere to ek baar maut bhi ruk jaayegi

teri baatein

iski baatein uski baatein, sabse pyari teri baatein,
chandni si sheetal ho tum aur chaand si teri baatein, 

mujhko meetha kar jati hai, sehad mein dubi teri baatein,
tannhai mein baith akele, karta hoon main teri baatein,

fagun mein mujhko rang jati hai, rango jaise teri baatein,
tan mann mera mehka jati hai, phoolon jaise teri baatein,

mujhko pawan kar jati hai ganga jaise teri baatein,
tum ho meri neendo jaise aur khawbon jaise teri baatein,

mujhko urrdake le jati hai pankho jaise teri baatein,
dil mein chhipke kuch kehti hai, dharkan jaise teri baatein,

taaro jaise tim tim karti, kali raaton mein teri baatein,
dil ke kore kagaz pe hai, gazlon jaise teri baatein,

jeevan zehar bhara ek sagar, amrit jaise teri baatein,
jeete jee jisme rehta hoon, us jannat jaise teri baatein,

har pal mujhko bhata hai, tujhse karna teri baatein,
kano mein ras ghol rahi hai, geeto jaise teri baatein,

mujhko chhuke sona kar gayi, paras jaise teri baatein,
raaj ko jeena sikhlati hai, jeevan jaise teri baatein.

teri banhon mein aaj so jaaye

teri banhon mein aaj so jaaye,
teri aankhon mein aaj kho jaaye,

dil to yeh aaj apna kehta hai,
tere diwaane aaj ho jaaye,

bekarari yeh dil ki kehti hai,
teri chahat mein aaj kho jaaye,

tujh ko dhadkan banale apni,
saari duniya se door ho jaaye,

tum agar sath doo-ge mera sanam,
saari duniya ko chord aayenge,

tujh ko apna jahaan banayenge,
saari duniya se hum chura layenge,

teri banhon mein aaj so jaaye,
teri aankhon mein aaj kho jaaye.

woh kuch iss tarah se humko tadpa rahe hain

woh kuch iss tarah se humko tadpa rahe hain,
ke aate-aate kareeb woh raste se laut kar jaa rahe hain,
rokna chahate hain hum unhein issi liye,
kin-kin bahano se unhein samjha rahe hain.

kabhi jaaneja.. kabhi jaaneman.. kabhi jaanebahar,
kah kar unko bula rahe hain,
woh kuch iss tarah se humein tadpa rahe hain,

kabhi aa rahe hain, kabhi jaa rahe hain,
kabhi hans rahe hain, kabhi sharma rahe hain,
pehle naraz karke phir khud hi manna rahe hain,
woh kuch iss tarah se humko manna rahe hain,

kabhi aankhein dikha rahe hain,
kabhi ankhein chura rahe hain,
kabhi hak jata kar dant rahe hain,
phir ussi pal sarrart se ankhein juka rahe hain,
woh kuch iss tarah se humko tadpa rahe hain,

unka masti bhari baatein karna,
woh mausam ko rangeen bana rahe hain,
aur karte-karte baatein khamosh hona dekh kar,
hum maan hi maan ghabra rahe hain,
woh kuch iss tarah se humko tadpa rahe hain.

har roz jeete hain har roz marte hain

har roz jeete hain har roz marte hain,
jab se hua hai ishq har pal tardapte hain.

churaya hai jis ajnabi ne dil yeh mera,
ussi chehre ko khawabon mein dhundhte hain.

ek nazar hi uski humko hum se begana kar gayi,
uski talaash mein ab hum dar-b-dar bhatakte hain.

koi mila de humein uss ajnabi se zaraa,
bas yahi hum sabse kehte rehte hain.

woh ajnabi jo mujhko apna sa hai laga,
bas usse paane ki chahat mein hum tardapte rehte hain.

na ho saka humse kuch.. to yeh paigaam hawaaon ko de diya,
bata ayehawaa mere dil ka haal, jo apne ghar mein bethe hain.

har roz jeete hain har roz marte hain,
jab se hua hai ishq har pal tardapte hain. 

abhi na jaaiye

mausam ka ishaara hai abhi na jaaiye,
tord ke yoon dil humara abhi na jaaiye.

bahaar ke rang ghule hain fizaaon mein,
bahaar ke aanchal se uth kar na jaaiye.

zamane ki gardishen ruk to nahi jayengi,
duniya ki khatir humko chord ke na jaaiye.

jaane se aapke rooth ke baithe hain hum,
ab humko manane ki khatir hi na jaaiye.

aankhon ki chamak humse chupate hain aap kyun,
aarzuon ne li hain angdaaiyan, abhi na jaaiye. 

world is an exchanging place

this world is an exchanging place,
it’s give and take! we are midst a race!

the pithy sun gives light and hues
heat that warms our souls and hearts.
in turn, we turn to dust, pure dust,
of micro-microns, spread athwart!

and move upwards, move up, and up,
in quest of reaching our own base.
it’s give and take. we are midst a race!

on the way, we are captured, enshrouded,
by condensing moistures in sky.
and clouds are formed round us, shortly
we are thrust earthward, midst thunderous cry!!

and drop with rain droplets on earth.
if saved from traps, we are back to space!
its give and take! we are midst a race!

there various forces drag us on,
and zigzag paths take quite long time!
such time, that ages pass quietly,
that we are speeding fast: past-prime!!

you are there, if we can reach: that’s true!
but after all, how shall we face?
it’s give and take! we are midst a race!


All Time's Favourite Posts