har roz jeete hain har roz marte hain

har roz jeete hain har roz marte hain,
jab se hua hai ishq har pal tardapte hain.

churaya hai jis ajnabi ne dil yeh mera,
ussi chehre ko khawabon mein dhundhte hain.

ek nazar hi uski humko hum se begana kar gayi,
uski talaash mein ab hum dar-b-dar bhatakte hain.

koi mila de humein uss ajnabi se zaraa,
bas yahi hum sabse kehte rehte hain.

woh ajnabi jo mujhko apna sa hai laga,
bas usse paane ki chahat mein hum tardapte rehte hain.

na ho saka humse kuch.. to yeh paigaam hawaaon ko de diya,
bata ayehawaa mere dil ka haal, jo apne ghar mein bethe hain.

har roz jeete hain har roz marte hain,
jab se hua hai ishq har pal tardapte hain. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts