agar hum door ho jaayein, kahin duniya mein kho jaayein

agar hum door ho jaayein,
kahin duniya mein kho 
jaayein,

batao kya karoge tum?
humein dhoondoge ya phir bhool jaoge? 

humein awaz doge ya
kisi guzri kahani mein
humara naam likh doge, 

chalo aisa hi kar dena,
tum bhi badal jana,
humein tum bhool hi jana,

magar itni guzarish hai..
humara zikar jab aaye 
to zara sa mukura dena. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts