bol bhi nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga

main khusi se roun ya ghum se chillau yaar,
bas raha hai ya phir chin raha hai mera pyaar.

kaise samjhau main usko, ki mera dil bhi toot raha hai,
tha jaisa bhi ek sahara, woh bhi mujh se choot raha hai.

kisse baat karunga, main nakhre kisko dikhlaunga..?
bol bhi nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga.

ek khusi mili thi mujhe kabhi, aur ab usko bhi khona hai,
rakhni hai hootho par hasi, par usse chupkar roona hai.

ek apna tha par sapna tha, ek jhatke se woh toot gaya,
koi mujhse poochega to aapna kisko batlaunga..?
bol bhi nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga.

ab bhookh nahi ab pyaas nahi.. zinda hone ka ehsaash nahi,
saari saanse de chuka tumhein, baki meri koi saash nahi,

tumse bharta tha pet mera, ab khana kaise khaunga,
peena hai bas neer mujhe so jee bhar ashq bahaunga,
bol bhi to nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts