mausam ka ishaara hai abhi na jaaiye,
tord ke yoon dil humara abhi na jaaiye.
bahaar ke rang ghule hain fizaaon mein,
bahaar ke aanchal se uth kar na jaaiye.
zamane ki gardishen ruk to nahi jayengi,
duniya ki khatir humko chord ke na jaaiye.
jaane se aapke rooth ke baithe hain hum,
ab humko manane ki khatir hi na jaaiye.
aankhon ki chamak humse chupate hain aap kyun,
aarzuon ne li hain angdaaiyan, abhi na jaaiye.

No comments:
Post a Comment