tanhai hogi jab tum paas nahi hogi

tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi,
jism mein jaise mere saans nahi hogi.
tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi.

aayegi yeh hawaein tera aanchal bankar kabhi,
royegi yeh aankhein baadal bankar kabhi,
na duwayein hogi, na dawaa paas hogi,

tardpega yeh dil, ghaayal bankar kabhi,
jeene ki mujhe koi aas nahin hogi,
tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi.

khamoshiyon mein teri aawazein dhundha karenge,
mehfil mein bhi tere hi nagme jharenge,
ek baar marte hain log zindagi mein,
tere bin ek baar nahi, hum pal pal marenge,
kya tum bhi mere bin udaas nahin hogi?tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi,

hothon se meri yehi fariyaad aayegi,
sach kehta hoon janam teri bahot yaad aayegi,
gar poocho ki yaadein teri kab tak aayegi?
to kahenge din dhalne ke pehle
aur raat aane ke baad aayegi,
tere siwa kisi aur ki talaash nahi hogi,
tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi..!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts