tujhe apne paas bitha kar sabko bhulaana hai

hathon mein hath le kar tera sath nibhaana hai,
tujhko apni mohabbat ka jazbah dikhaana hai,

teri baahon mein aakar sukoon mil jaaye mujhe,
teri zulfon ko apne kaandhon pe bichaana hai,

tu azeez hai mujhe itni main keh nahi sakta,
tera deewaana hoon main bas itna bataana hai,

haseen nazaaron mein, ab mera mann lagta nahi,
tere chehare ko nigaahon ke saamne laana hai,

main kahi baith jaaun tanha, duniya ki fikr mein,
tujhe apne paas bitha kar, sabko bhulaana hai,

jab dekhe tu mujhko t0 chehra khil jaye mera,
har takleef ko apne dil se, mujhe mitaana hai,

main duaa mein maangta hoon, khuda se tujhko,
apna sab kuch kho kar bas tujhe hi paana hai,

khwaabon mein bhi aksar yeh sochta hai,
kya tujhe bhi kuch iss tarha mujhe sunaana hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts