aye channd.. aaj phir karni hai tujhse jaane kitni baatein

aye channd.. tujhse karni hai jaane kitni hi baatein,
tere intezaar mein kaati hain jaane kitni raatein.

dekha karta hoon tujhse, aankhon mein armaan bhar
kabhi tu bhi aa paas, thoda to ehsaas kar,

milan ki aas deke.. tera baadlon mein chhip jaana,
haye apni adaayon se kyu dil mera bhelaati hai.

mushkil se thaamta hoon dil, 
aur phir khwaabon mein tu aa jati hai,
jaane kyu iss kadar tu mujhe tardpaati hai.

bholi si tu door se..
mann hi mann phir muskrataa hai,
aye naadaan... naa jaane tu, 
dheere dheere meri jaan liye jaati hain!

chaand! aaj phir karni hai tujhse jaane kitni baatein,
yun hi guft-gu mein kaati hain, yeh deewani raatein!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts