chand taaron ki tarah woh bhi chamakta nikla,
jo bhi unke paas se gujra.. mahakta nikla,
aankh se aankh mila kar jo pilai usne,
pi ke madhosh hua aur behakta nikla,
chain din ka bhi gaya, nind udhi raaton ki,
unke pahlu se jo bhi nikla.. siskta nikla,
mere jahan-e-dil mein unke husn ki roshani hai,
khamosi unke honto ki tootne na payi,
do pyar ke lafz ke liye koi.. bikharta nikla.
yeh alam tha unke husn aur jalwe ka,
jo unke paas se nikla.. damakta nikla.
“raaj” ke dil-aur-dimag mein iss kadar chaye woh,
lab se ghazal bhi nikla to.. sanwrta nikla.

No comments:
Post a Comment