baraste huye baadlon ki bundein,
mann mein ek pyaas jagaati hai,
aa jaao mere humraaj tum,
yeh hasin waadiyan tumhein bulati hain.
ke milkar phir kuch waadein kareinge,
kabhi hassenge to kabhi rutha karenge,
mere mann ki preet ab aur bardhti jaati hai,
yeh hassin waadiyaan tumhein bulati hain.
rim-jhim jharno ka pahardon se girna,
woh dheeme se swar mein chirdiyon ka chehakna,
yeh thandi thandi hawayein mann ko machlati hain,

teri surat jaise neele aashmano mein safed baadal,
maine tere liye apna failaya hai bahein,
chandni raat tujh bin mujhe jagaati hai,

No comments:
Post a Comment