tumhaare har ek ruthne-manaane ko

sunne sunaane ke khaatir oh monika,
iss jamaane ke paas koi haseen taraana nahi,

tum chup ho yeh khabar hai mujhko,
aisa nahi ke tumhara koi fasaana hi nahi,

main aksar bahut batiyaata hoon,
iss zamaane ko sunta aur sunaata hoon,

main kehkar bhi khaamosh hi hoon tumhaari hi tarah,
na kuch sunta hoon na kisi ko sunta paata hoon,

in jubaanon mein ab intni mithaas nahi rahi,
har koi shabdon ke teer chalaata hai,

shaayad koi hai jo majbur hai sunne ko,
warne zamaane ki baatein kaun sunna chaahta hai,

tum to bas muskuraao o monika,
yeh raaj jo hai tumhaare saath muskurane ko,

yeh aankhein, yeh ungliyaan, yeh chehra sab keh deta hai,
tumhaare har ek ruthne-manaane ko.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts