har janam mein tumhe paane ki chahhat rahegi,
zindagi ke kisi mord pe shaayd hum bichad jaayein,
milti ho jab bhi mujhse pyaar chhalakta hai dil se,
dekhogi jab bhi, aankhon mein wohi shahraarat rahegi,
tum jab saath chalti hoi to ek tasalli si rehti hai dil ko,
aarzoo hai bas tumhe paane ki o mere hum kadam,
tere liye sada in honthon pe muskurahat rahegi,
zindagi ke kisi mord pe shaayd hum bichad jaayein,
dil ki un galiyon mein mere kadmon ki aahat rahegi,
waqt ke sath-sath shayad tum mujhe bhool jaao,
phir bhi meri yaadon men teri mehek ki milaavat rahegi,
phir bhi meri yaadon men teri mehek ki milaavat rahegi,
milti ho jab bhi mujhse pyaar chhalakta hai dil se,
dekhogi jab bhi, aankhon mein wohi shahraarat rahegi,
tum jab saath chalti hoi to ek tasalli si rehti hai dil ko,
tum jo rahogi sang mere to iss dil ko bhi raahat rahegi,
aarzoo hai bas tumhe paane ki o mere hum kadam,
gar na mili tum to rooh ko zindagi se bagaavat rahegi.
No comments:
Post a Comment