chahat ne humari ek rishta naya banaya

chahat ne humari ek rishta naya banaya,
khubusrat aadao pe na jane dil kab aaya.

wafa ne humari unhein kuch aur kareeb laya,
deewangi mein hum ne unhein apna khuda banaya.

nazaro se jab hum ne haal-e-dil sunaya,
mohabbat ka nasha unke ankho mein samaya.

jise chaand saajh kar door se dekh liya,
kisamt se unhein pane aagosh mein paya.

dhardkano ne humari kuch aisa raag sunaya,
do jismo ko simta kar ek jaan hote paya.

rooh ne bhi humari ajab sukun paya,
chahat ne humari unhein mohabbat ka,

rah-e-hum safar banaya.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts