tum mere ho tum mere ho

jis din se dekha hai tum ko sanam,
bechain rehtey hain us din se hum,
aisa lagta hai khuda ki kasam,
tum mere ho, tum mere ho...

sawan hai barsaat hoti nahi,
khul k koi baat hoti nahi,
kaise batayun yeh tumko sanam,
tum mere ho, tum mere ho...

shaayer jo hota to tere liye,
kehta ghazal main koi pyaar ka,
hota murtikaar to apnay liye
murat banata tere surat ki,

par kya karein k murtikaarr nahi,
hai badnaseebi k shaayer nahi,
kaisae batayein yeh tum ko sanam,
tum mere ho, tum mere ho...

raaton ko kerwat badalte hain hum,
shamma ki umeed jaltaye hain hum,
tum hi batao ki hum kya karein,
charon taraf dekhte hain tumhein,

iss mein khata kya hamari hai,
har chehare mein soorat tumhari hai,
kaliyon mein tum ho, baharon mein tum,
iss dil mein tum ho, nazaron mein tum ho,

kaise batayein yeh tum ko sanam,
tum mere ho, tum mere ho,
tum mere ho, tum mere ho...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts