kar aaye haal-e-dil bayaan

dekhte hi unko meri nazron ka thahar jaana
khwaab paane ke unko dil mein tamaam aate hain,

woh adda woh mizaaj woh nazar ki hadd hi bas,
khayal bhi sabhi mere unke naam aate hain,

kar aaye haal-e-dil bayaan be-khauf tabeeyat se,
ab dekhte hain iske kya anjaam aate hain,

har shaks be-sudh mila unke nashe se hi,
par apni kismat mein to khaali jaam aate hain,

le ke abhi armaanon ko saath chalte hain,
bujhte chiraag hain lekin safar mein kaam aate hain,

ho har jagah jiski shksiyat ka charcha,
wafa daari ke us par hi sab ilzaam aate hain,

aaj mahaul hai woh bhi hain, hum bhi fursat mein,
dekhe fiza mein rang kya iss shaam aate hain,

judaai ke lahze ko bhi dekha gaya unmein,
jo milne ke unki aur se paighaam aate hain,

roz kehna aaj unko bhool jaayenge aur
kar ke aankhon ki nami ka khud intzaam aate hain,

guzaara ho kaise log kahte hain iss mehfil sajaayi se,
dekho "raaj" apne sheron ke kya daam aate hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts