milte agar hum to kya haal hota

milte agar hum to kya haal hota,
soch soch kar yahi boora hai mera haal hota,

dhardhakti dhadkano ka shor hota,
nachta mann ka morr hota,

lub kahte huye rukte khamoshi ka sath hota,
kahte kahte ruk jaati juban, bechaini ka raag hota,

nazaron se nazaron ka phir takraar hota,
milte gale ya hathon mein hath hota,

lagte jab tere seene se badan, main sirf tera raj hota,
kap-kapate honthon pe tere hontho ke sungam ka saz hota,

thirkate tann se anchal ka hataaw hota,
madhuban mein mehkata har ek khawab hota,

milte agar hum to kya haal hota,
soch soch kar yahi boora hai mera haal hota. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts