mar gaya to bhi laut kar aaunga tere liye

mere dil mein hai surat uski,
uske siwa koi aur mujhe bhata nahi,

nahi so paata hoon raaton ko,
teri tarah koi pyaar se mujhe sulaata nahi.

pehle hans padta tha baaton par teri,
ab koi mazaak bhi mujh ko hansata nahi,

sookh gaye hain aanshoo bhi mere,
koi gham bhi ab mujhe rulaata nahi,

nahi milta kissi se tevhaaron par main,
aur deepavali par koi deep jalata nahi.

tu saath thi to jeevan mein the kitne rang,
ab to holi bhi main manata nahi,

bin tere mere jeevan mein andhera hai,
koi raasta bhi mujhe nazar aata nahi,

jab se saath chord gayi hai tu,
tabse koi aur mera saath nibhata nahi,

jab se tune thukraya hai jaan,
tabse koi aur mujhe apnata nahi,

lagta tha amrit tere haathon ka paani,
pyasa hoon koi paani bhi ab pilaata nahi,

tere jaane ke baad ho gaya hoon bahut akela,
par yeh dukh mein kissi ko batata nahi.

pyar mein tukde tukde ho gaya dil,
darta hai jas, ab kissi aur se dil lagata nahi,

yoon keh dene se khatam nahi hote rishtey,
kissi ke keh dene se koi mar jaata nahi,

mar gaya to bhi laut kar aaunga tere liye,
kya hua jo us jahan se koi waapis aata nahi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts