door chal kahin veeranon mein raaj

main uska raha, woh begana raha,
meri nazron mein uska hi afsana raha,
pyar uski bewafai pe aaya humesha,
kuch aisa main pagal deewana raha.

jalta raha door shamma se umar bhar,
ek aisa bhi yaaron parwana raha,
kismat hi apni sitamger rahi,
ki nishane pe sar kabhi, sar pe nishana raha.

jisko chaaha wahi na mil saka bas,
yun to kadmon mein sara zamana raha.
kushoor tha raaj ka ki badnam tha woh,
sabab-e-barbadi mein baharon ka aana raha.

door chal kahin veeranon mein raaj,
ab iss shaher mein tera na thikana raha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts