jurm itna hai ke sirf unhein chaha

jaate lamhon ko rokna chaaha
phir tera haal puchhna chaaha.

wafa manga tha wafa ke badle,
sochta hoon yeh maine kya chaaha.

barish -e- khayalon mein
ek murakh ne bheegna chaha.

kitni umeedein, kitni hasratein hain,
humne tujhe kya na dilana chaaha.

main tere jaise naamwar to nahi,
par tujhko chaaha to kya bura chaaha?

bichhard ke tujhse agar jee na saka,
marna chaaha to kya bura chaaha?

nakami jawan kholne nahi deti,
kya bataun ke maine kya chaaha.

saza yeh hai ke umra bhar tardpoon,
jurm itna hai ke humne sirf unhein chaha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts