aisa bhi to ho sakta hai

woh saare ehsaas bhula dein, aisa bhi ho sakta hai,
woh apne vaadon ko bhula dein, aisa bhi ho sakta hai.

yaaron bhari mahfil mein usko, kaise bewafa main kaeh doon,
huyi koi mujhse bhi khata ho, aisa bhi ho sakta hai.

koi roshni ki khatir, ek ghar mein diya le aata hai,
wahi diya aashiyan jala de, aisa bhi ho sakta hai.

kahte hain ek tanha musafir bhi, manzil pa jaata hai,
kisi ko manzil hi thukra de, aisa bhi ho sakta hai.

koi hatheli par chahat mein, apna likh de naam kabhi,
aur usse woh khud hi jala de, aisa bhi ho sakta hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts