dard mein khil khilaana seekh liya maine

zindagi tujhe sataana seekh liya maine,
dard mein khil khilaana seekh liya maine,

darr mujhe to ab andheron se lagta nahi,
dil-e-aashiq jo jalaana seekh liya maine,

zindagi mein mere woh aate kyun nahi,
sapnon mein bulaanaa seekh liya maine,

dil ki baatein bayaan kar deti hai nazrein,
ab nigaahein churaana seekh liya maine,

musibaat ke waqt saath chhordte hain sab,
in logon ko aazamaana seekh liye maine,

kuch bhi nahi hai zindagi ka falsafaa,
bemaan hasratein lutaana seekh liya maine,

aage manzil bhi hai, karwaan bhi ahi,
ummedon se dil behlaanaa seekh liya maine..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts