hum musaafir safar pe hi chalte rahe

woh suraj ke taraah aag ugalte rahe,
hum musaafir safar pe hi chalte rahe,

woh beete waqt the, unhein aana na tha,
hum saari raat karwat badalte rahe,

dil bhi pighla hai mom ke taraah unke bin,
hum umar ki tarah sirf dhalte rahe,

aashiyana ujda tufaan ki taraah,
kyun kareeb se mere woh nikalte rahe?

manzil aye ishq paane ki ummid mein woh,
mord pe har raah kaise badalte rahe..?

gar nasib mein nahi tum to kaisa nasib,
band-e-ghum mein hi hum roz galte rahe,

hausle past nahi hote hain unke kabhi,
aandhi mein jo diya ban ke jalte rahe..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts