aaj phir wohi pyaasi shaam hai

aayi phir wohi pyaasi shaam hai,
phir wohi intezaar ka mukaam hai,

lut gaye yeh neend-o-karaar ab,
aarzu mein tere.. dil hua nilaam hai.

karte hain sawaal yeh lab mujhse,
muskaan kis cheez ka naam hai?

kahaan dhoondhu main us shakhs ko,
la-pata woh, shehar gumnaam hai.

aa ja ke saansein hain pareshaan,
tere bagair lage zindagi ilzaam hai,

sab paa kar bhi kuch nahi hai paas,
bas yeh jazba-e-ishq nakaam hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts