yeh shehar hai dhanbad apna

woh hirapur ki pani puri,
woh citycenter ki chaat,
woh amul ki ice cream,
wah usme thi kuch baat!

woh madhulika ki mithai,
woh manish cafe ka dosa,
woh steelgate ki pav bhaji,
basant ka samosa.

woh local train ka “suffer”,
woh bekaarband ki hawa,
woh station road ke auto,
aur birsha park ka sama.

woh december ki zara si sardi,
woh baarishon ke mahine,
woh garmi ki chuttiyaan,
jab chutate the passeene.

woh holi ki masti,
woh navratri ka garba,
woh diwali ke patakhe,
aur ganpati ka shor o sharaba.

woh bankmore ki traffic,
woh bartard ki rush,
woh tardapti garmi mein,
thella-icecream ka ek kala khatta slush.

woh parkmarket ka mohol,
woh bekaarband ki leheren,
woh doobte suraj ka nazara,
wah uska kya kehena!

woh nukkard ka pop-corn
aur purana bazar mein shopping,
woh sslnt ka nazara
aur ism ki building.

woh cinema ke queue,
woh black ki ticket,
woh golfground ka maidan,
jahan bachche practice karte hain cricket!

itni cheezen kehene ke baad,
aur kitni karron mein baatein,
yeh shehar hai dhanbad apna

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts